Banda milne ko qareeb-e-Hazrat-e-Qadir gaya Lam’a-e-batin mein gumne jalwa-e-zahir gaya
Teri marzi pa-gaya suraj phira ulte qadam Teri ungli uth gayi mah ka kaleja chir gaya
Barh chali teri ziya andher alam se ghata Khul gaya gesu tera rehmat ka badal ghar gaya
Bandh gayi teri hawa Sawah mein khak udne lagi Barh chali teri ziya aatish pe pani phir gaya
Teri rehmat se Safiyyullah ka beda paar tha Tere sadqe se Najiyyullah ka bajra tar gaya
Teri aamad thi ke Baitullah mujre ko jhuka Teri haibat thi ke har but tharthara kar gir gaya
Momin un ka kya hua Allah us ka ho gaya Kafir un se kya phira Allah hi se phir gaya
Woh ke us dar ka hua khalq-e-Khuda us ki hui Woh ke us dar se phira Allah us se phir gaya
Mujh ko deewana batate ho main woh hoshiyar hoon paon jab tawaf-e-haram mein thak gaye sar phir gaya
Rahmatullilalamin aafat mein hoon kaisi karoon Mere Maula main to is dil se bala mein gir gaya
Main tere hathon ke sadqe kaisi kankariyan thin woh Jin se itne kafiron ka daf’atan munh phir gaya
Kyun janab-e-Abu Huraira tha woh kaisa jaam-e-sheer Jis se sattar sahibon ka doodh se munh phir gaya
Wasta pyare ka aisa ho ke jo Sunni mare Yun na farmayen tere shahid ke woh fajir gaya
Arsh par dhoomein machein woh momin-e-salih mila Farsh se matam uthe woh tayyib-o-tahir gaya
Allah Allah yeh ullu-e-khas-e-abdiyat Raza Banda milne ko qareeb-e-Hazrat-e-Qadir gaya
Thokrein khate phiro ge un ke dar par par raho Qafila to ay Raza awwal gaya aakhir gaya





