Bakhate-noor is dar par likha hai Yeh baab-e-rehmat-e-Rabb-e-Ula hai
Sar-e-khairah jo ab dar par jhuka hai Ada hai umar bhar ki jo qaza hai
Muqabil dar ke yun Kaaba bana hai Yeh qibla hai to tu qibla-numa hai
Dar-e-wala pe ik mela laga hai Ajab us dar ke tukron mein maza hai
Yahan se kab koi khaali phira hai Sakhi Data ki yeh daulat-sara hai
Gada to hai gada jo badshah hai Usay bhi to usi dar se mila hai
Jisay jo kuch mila jis se mila hai Haqeeqat mein woh us dar ki ata hai
Usi sarkar ka mangta hai aalam Gada us dar ka har shah-o-gada hai
Yahan se bheek paatay hain salateen Usi dar se unhein tukra mila hai
Usi dar se palay ga pal raha hai Usi ghar se zamana pal chuka hai
Shab-e-Meraj se zahir hua hai Rusul hain muqtadi to muqtada hai
Khudai ko Khuda ne jo diya hai Usi ghar se usi dar se mila hai
Khuda-e-pak to ghar dar se hai paak Magar yeh dar dar-e-pak-e-Khuda hai
Yahan woh ba-Khuda hai jalwa-farma Jo kashti ka jahan ki na-khuda hai
Shah-e-Arsh-e-astaan Allah Allah Tasawwur se Khuda yaad aa raha hai
Yeh woh mehboob-e-Haq hai jis ki ru’yat Yaqeen mano keh deedar-e-Khuda hai
Yadullah jis ka dast-e-pak thehra Woh bai’at jis ki bai’at ba-Khuda hai
Rami jis ki rami thehri Khuda ki Kitab-e-Allah mein Allah rama hai
Qasam Quran mein jis ki rah-guzar ki Khuda ne yaad ki kya martaba hai
Wohi matloob jis ka har har andaaz Wohi mehboob jis ki har ada hai
Hawa se paak jis ki zaat-e-qudsi Woh jis ki baat bhi wahy-e-Khuda hai
Nahi kehte hawa-e-nafs se kuch Jo farmayein wohi wahy-e-Khuda hai
Chamak se jin ki roshan hain do aalam Mehak se jis ki har bustaan basa hai
Woh jalwa jis se Haq hai aashkara Woh surat jo jamal-e-Haq-numa hai
Woh yakta aayina zaat-e-Ahad ka Woh mir’aat-e-sifaat-e-Kibriya hai
Woh pyara jis pe Rabb hai aisa pyara Keh us ke pyaray par pyara Khuda hai
Woh jis ka shehar bhi hai aisa pyara Jahan ki raat din se bhi siwa hai
Jahan hai be-thikanon ka thikana Jahan shah-o-gada sab ka thiya hai
Dawa dukh dard ki hai khaak jis ki Ma’asi ka jahan Darul-shifa hai
Karam farmaiye aye Sarwar-e-Deen Jahan mangton ki paiham yeh sada hai
Khazanay apnay de ke tum ko Haq ne Na qasim hi keh maalik kar diya hai
Jisay jo chaho jitna chaho do tum Tumhein mukhtar-e-kul farma diya hai
Do aalam bheek letay hain yahan se Jo jis ke paas hai tera diya hai
Na mangein tum se hum to kis se mangein Hain sab dar band bas yeh dar khula hai
Main dar dar kyun phiron dur-dur sunon kyun Meray Sarwar mera kya sar phira hai
Ata farmatay ho be-mangay sab kuch Yeh mangta tum se tum ko mangta hai
Tumhara milna milna hai Khuda ka Khuda mil jaye to phir kya raha hai
Ata farmaiye apnay karam se Meray Maula jo dil ka mudda’a hai
Yehi Sarkar-e-faiz-asar hai woh Jahan se faiz ka dariya baha hai
Yehein se paatay hain sab apnay matlab Har ik ke wastay yeh dar khula hai
Ba-har lahza ba-har sa’at ba-har dam Dar-e-Sarkar-e-faiz-asar wa hai
Nahi taqseem mein tafreeq kuch bhi Keh dushman bhi yehein ka keh raha hai
Yeh woh dar hai hawa hai woh bhi hazir Jo is Sarkar ka dushman chupa hai
Salam-e-rustai be-gharz neest Woh kya ta’zeem ko hazir hua hai
Aqeeday mein to is ke shirk hai yeh Dikhane ko taqiyya kar liya hai
Jala imaan se hoti hai dil par Woh andha sheesha hai jo be-jala hai
Nahi sheesha nahi woh dil to jis par Khuda ne khatm farma di tawa hai
Na thehray matr-e-Haq ki boond jis par Lehabi kya hai ik chikna ghara hai
Bohat bad-firqay paida ho chukay hain Sabhi ne ik naya mazhab garha hai
Jo mazhab Ahl-e-Sunnat ke ilawa Bana hai woh jahannam ka garha hai
Jama’at par yad-e-rehmat hai Haq ka Juda firqa jahannam mein gira hai
Hai un mein ek firqa sab se badtar Jisay shirk az umoor-e-aamma hai
Nahi jis se koi maujood khaali Koi bhi us ki zad se bach saka hai
Har ik is shirk se thehra jo mushrik Jo hai ya hoga ya aagay hua hai
Sahaba khud Nabi balkeh khud Allah Sabhi par hukm-e-shirk us ne jara hai
Jisay bid’at ki lat itni pari hai Keh Sunnat ko bhi bid’at bolta hai
May-e-bid’at se hai sarshar aisa Keh sab kuch us ko bid’at soojhta hai
Thi itni tund may jis ke nashay mein Keh khud apnay hi ko bhoola hua hai
Yeh khud hai bid’ati mushrik yaqeena Magar Sunni ko bid’i jaanta hai
Hain us ke shirk-o-bid’at ahl-e-gehlay Sarapa jin mein khud dooba hua hai
Yeh aisa is ka hukm-e-shirk-o-bid’at Usay sawan ke andhay ka hara hai
Hai Sunni aayina us ne jo dekha Nazar apna hi chehra aa gaya hai
Usay man ibtada’a to reh gaya yaad Magar man sanna yeh bhoola hua hai
Khud apnay fatwon se hai aap mushrik Na bas mushrik hi yeh mushrik juna hai
Nahi hai baap hi mushrik keh jud bhi Aur us ka jud jahan tak silsila hai
Khuli tanqee’sein mehbooban-e-Haq ki Yeh firqa barmala karta raha hai
Khuli tauheen ki hai khud Khuda ki Keh us ko kizb par qadir kaha hai
Na mumkin hi kaha balkeh yahan tak Barha hai yeh keh waqay keh gaya hai
Na bas ik kizb par hi us ne bas ki Keh jahl-o-zulm-o-sarqa bhi kaha hai
Tumhein Haq ne diye hain woh fazail Keh shirkat in mein hona narawa hai
Mumasil ho nahi sakta tumhara Tumhein woh fazl-e-kul Rabb ne diya hai
Tumhari be-misali is se zahir Keh mehboob-e-Khuda tum ko kiya hai
Muhib kya chahta hai misl-e-mehboob Muhib to be-misali chahta hai
Magar yeh firqa mehboob-e-Khuda ke Karoron misl mumkin maanta hai
Na mumkin hi keh chhay misl waqay Kaha karta kutub mein chaapta hai
Yunhi khatm-e-nubuwwat ka hai mani’ Shafa’at se bhi munkir ho gaya hai
Musalmanon ke dar se lafz maanay Magar ma’nay ka mani’ barmala hai
Jo ma’nay un ke hain ma’thoor ab tak Sarahat se unhein rad kar raha hai
Kahan tak zulm mein is ke ginaun Kahan tak main ginun kya kya baka hai
Nafi jis ilm ki Sarkar se ki Usi ko nass se sheytan kar diya hai
Muheet-e-arz ka sheytan ko jab Yeh nass se ilm saabit maanta hai
Shareek-e-Iblees ko karta hai Haq ka Keh sheytan hi ko yeh Haq jaanta hai
Woh kuch maanay baher surat woh khud hi Bara mushrik bahukm-e-khud bana hai
Majaneen-o-sabi haiwan bahaim Yeh in sab ke liye bhi maanta hai
Nabi ghair-e-Nabi mein farq poocha Batao in mein un mein farq kya hai
Unhein jaisa bataya ilm-e-aqdas Kaha hai ba’z mein takhsees kya hai
Nafi shah se bajah-e-shirk ki bhi Magar phir bhi usi mein mubtala hai
Jo qismat mein likha tha kyun na hota kahein taqdeer ka likha mita hai
Karein lakhon jatan hota hai woh hi Wohi hoga jo qismat mein bada hai
Khayal-e-khar mein istighraq se bad Jo ta’zeem-e-Nabi ko jaanta hai
Agar us ko koi itna kahega Keh woh insaan nahi khasa gadha hai
Bikhar jayenge us par kaisa kaisa Jinhein tahzeeb-e-nau ka idda’a hai
Bayan-e-aib-e-dushman na’at hi hai Keh Quran mein bhi to Tabbat yada hai
Ziya-e-Kaaba se roshan hain aankhein Munawwar qalb kaisa ho gaya hai
Hamari haziri noor-un-ala-noor Keh ba’d-e-Hajj hamein hazir kiya hai
Ziya-e-rauza ka aalam kahoon kya Keh woh to noor-e-Kaaba se siwa hai
Yahan mehboob-e-Rabb hai jalwa-aara Wahan bas ik tajalli ki ziya hai
Hai yeh to wasl se sarsabz dil shaad Woh naar-e-hijr se dil sokhta hai
Mah-o-khur bheek paatay hain yahan se Ziya-e-rauza ka kehna hi kya hai
Faza-e-Taiba ke qurban jaaun Naseem-e-khuld si jis ki hawa hai
Khafeef-o-khush maza be-misl paani Kahein duniya mein aisa kab piya hai
Zameen-e-paak woh jis ko Khuda ne Kitab-e-Allah mein Arzullah kaha hai
Hamein to Taiba hai Jannat se barh kar Jahan mehboob-e-Haq jalwa-numa hai
Qadam hum jaison ke is sarzameen par Karam Sarkar ka hai aur kya hai
Watan ki har suhani subh Noori Yahan ki sham-e-ghurbat par fida hai





