Ae bahaar-e-baagh-e-eemaan marhaba sad marhaba Ae chiraagh-e-bazm-e-irfaan marhaba sad marhaba
Tum se raunaq deen ki tum se bahaar-e-imaan ki Haami-e-deen-e-Nabi ho ahl-e-deen ke mudda'a
Be-gumaan jaana Rasool-e-Allah se Allah ko Rehbari se teri paaya hum ne baab-e-Mustafa
Aap ki taqreer hai be-shubha tafseer-e-hadees Aap ki tehreer hai beemaari-e-dil ki dawa
Aap ke saaya mein gar aawe magas howe Huma Aap ki chashm-e-karam se mis bhi ban jaaye tila
Kyun na ho tum pe tasadduq ahl-e-dil ahl-e-nazar Jaanasheen-e-Mustafa ho noor-e-chashm-e-Mustafa
Tum Naeem-e-deen ho Saalik faqeer-e-deen hai Haq Ta'ala ne tumhe mun'im kiya us ko gada





