We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Ashiqo Vird Karo Saly Ala

Jamil ur Rehman Qadri

Aashiqo wird karo sall-e-ala aaj ki raat Main parhoon Shah ki kuch madh-o-sana aaj ki raat


Zeb-e-dunya huay woh Shah-e-huda aaj ki raat Donon aalam mein hai yeh shor bapa aaj ki raat


Pheli aalam mein Muhammad ki ziya aaj ki raat Mah-o-khursheed ne munh dhank liya aaj ki raat


Maang lo maangna ho jis ko dua aaj ki raat Wa dar-e-paak ijaabat ka hua aaj ki raat


Naar-e-Fars ki bujhi noor-e-Ilahi chamka Qal-e-shirk hua jalwa numa aaj ki raat


Khushk Sawa hai Samawa mein hai darya jaari Lo zamana ka hua rang naya aaj ki raat


Is liye nasb kiya sabz alam Kaabe par Haft-e-iqleem ka maalik woh hua aaj ki raat


Ahl-e-tauheed se takbeer ka woh shor utha Ke sanam khanon mein kehram macha aaj ki raat


Zalzala aa gaya shaq ho gaya qasr-e-Kisra Toot kar kangron ka dher hua aaj ki raat


Shama-e-tauheed se roshan hua saara aalam Kufr-e-kuffar ka kafoor hua aaj ki raat


Sar-nigoon ho gaye but roo-e-zameen ke saaray Kaaba-e-paak bhi sajday mein jhuka aaj ki raat



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Sar-e-aflaak khameeda hai falak ke aagay Tootay partay hain sitaray z-sama aaj ki raat


Aasmaan hota hai qurbaan yeh zameen se keh kar Ki Khuda ne tujhay daulat yeh ata aaj ki raat


Jaanwar detay hain aapas mein mubarakbaadi Aur shayateen mein hai faryaad-o-buka aaj ki raat


Gul woh phoola hai mehak jaayen gay donon aalam Kehti gulshan mein hai yeh baad-e-saba aaj ki raat


Khalq par barsein gay ab khoob karam ke jhaalay Jhoom kar Kaabay se hai abr utha aaj ki raat


Aa rahay hain dar-e-aqdas pe muraadein lenay Haath phailaye huay Shah-o-gada aaj ki raat


Kisi bekas ki zabaan par yeh sada hai peham Is taraf ko bhi nazar bahar-e-Khuda aaj ki raat


Apnay mehboob ki Allah ne ummat mein kiya Suniyo mil ke karo shukr-e-Khuda aaj ki raat


Aye Jameel-e-Rizvi wasf-e-Nabi kar itna Ke raza-mand ho Ahmad ki raza aaj ki raat

Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah