Arsh par hain un ki har su jalwa-gastar eriyan Gah ba-shakl-e-Badr hain gah mehr-e-anwar eriyan
Main fida kya khub hain taskeen-e-muztar eriyan Roti surat ko hansa deti hain aksar eriyan
Dafe-e-har karb-o-aafat hain woh yaawar eriyan Banda-e-aasi pe rehmat banda-parwar eriyan
Ghuncha-e-umeed un ki deed ka hoga kabhi Phool ke hain ab nazar mein un ki khushtar eriyan
Noor ke tukron pe un ke Badr-o-Akhtar bhi fida Marhaba kitni hain pyari un ki dilbar eriyan
Ya Khuda ta-waqt-e-rukhsat jalwa-afgan hi rahein Aasman-e-noor ki woh shams-e-azhar eriyan
Un ki rifat wah wah kya baat Akhtar dekh lo Arsh-e-Aazam par bhi pahunchin un ki bartar eriyan





