Arsh-e-Ula se aala meethay Nabi ka roza Hai har makaan se baala meethay Nabi ka roza
Kaisa hai pyara pyara yeh sabz sabz gumbad Kitna hai meetha meetha meethay Nabi ka roza
Firdous ki bulandi bhi chhoo sakay na us ko Khuld-e-bareen se ooncha meethay Nabi ka roza
Makkay se is liye bhi afzal hua Madinah Hissay mein is kay aaya meethay Nabi ka roza
Kaabay ki azmaton ka munkir nahi hoon lekin Kaabay ka bhi hai Kaaba meethay Nabi ka roza
Aansoo chalak paray aur be-taab hogaya dil Jis waqt main nay dekha meethay Nabi ka roza
Hogi shafa'at us ki jis nay Madinay aakar Khwah ik nazar bhi dekha meethay Nabi ka roza
Baadal ghiray huay hain baarish baras rahi hai Lagta hai kya suhana meethay Nabi ka roza
Hijr-o-firaq mein jo Ya Rab! tarap rahay hain Un ko dikha de Maula meethay Nabi ka roza
Hazdah hazaar aalam ka husn is pay qurban Donon jahan ka dulha meethay Nabi ka roza
Us aankh par na kyon kar qurban meri jaan ho Jis aankh nay hai dekha meethay Nabi ka roza
Jis waqt rooh tan say Attar ki juda ho Ho samnay khudaya meethay Nabi ka roza





