Aariz-e-shams-o-qamar se bhi hain anwar eriyan Arsh ki aankhon ke taare hain woh khushtar eriyan
Ja baja partau-fagan hain aasmaan par eriyan Din ko hain khursheed shab ko mah-o-akhtar eriyan
Najm-e-gardoon toh nazar aate hain chote aur woh paanv Arsh par phir kyun na hon mehsoos laaghar eriyan
Dab ke zer-e-pa na gunjaish samaane ko rahi Ban gaya jalwa kaf-e-pa ka ubhar kar eriyan
Un ka mangta paanv se thukra de woh duniya ka taaj Jis ki khatir mar gaye Mun'im ragad kar eriyan
Do qamar, do panja-e-khor, do sitare, das hilaal Un ke talwe, panje, naakhun, paaye athar eriyan
Haaye us patthar se us seena ki qismat phoriye Be-takalluf jis ke dil mein yun karein ghar eriyan
Taaj-e-Rooh-ul-Quds ke moti jise sajda karein Rakhti hain wallah woh pakeeza gauhar eriyan
Ek thokar mein Uhad ka zalzala jaata raha Rakhti hain kitna waqar Allahu Akbar eriyan
Charkh par chadh-te hi chaandi mein siyahi aa gayi Kar chuki hain badr ko taksaal baahar eriyan
Aye Razaؔ toofan-e-mahshar ke talatum se na dar Shaad ho! hain kashti-e-ummat ko langar eriyan





