We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Apne Rindon Ki Ziyafat KijiyeNot Verified

Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Azhari

Apne rindon ki ziyafat kijiye Jaam-e-nazzara inayat kijiye


Saqi-e-Kausar duhai aap ki Sokhta jaano pe rehmat kijiye


Dijiye meri mohabbat ko hawa Is taraf chashm-e-mohabbat kijiye


Qaid-e-gham mein khush rahoon main umr bhar Yun giraftar-e-mohabbat kijiye


Khud ko bhooloon aap ki ulfat mein main Mujh ko yun madhosh-e-ulfat kijiye


Kijiye apna mehez apna mujhe Qat'a meri sab se nisbat kijiye


Dafa ho Taibah se yeh Najdi bala Ya RasoolAllah ﷺ aajulat kijiye


Maang lijiye khaak-e-Taibah mein jagah Khaak mein saman-e-ishrat kijiye


Un pe marna hai dawam-e-zindagi Maut se phir kyun na ulfat kijiye


Jaan lene aayen woh Jaan-e-Jahan Maut se phir kaise nafrat kijiye


Zindagi hai sadd-e-rah-e-dostan Kis liye jeene ki hasrat kijiye



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Un pe marjane ki rakhiye aarzoo Yun sada jeene ki soorat kijiye


Zulmaton mein roshni ke waste Daagh-e-seena ki hifazat kijiye


Aatish-e-dozakh bujhane ke liye Tez tar naar-e-mohabbat kijiye


Tez kijiye seena-e-Najdi ki aag Zikr-e-aayat-e-wiladat kijiye


Kijiye yaad-e-Khatam-ul-Anbiya Khatm yun har ranj-o-kulft kijiye


Tay ho naam-e-pak par meri kitab Yeh karam Khatm-e-Risalat kijiye


Jadd bi wasl-e-daaim ya Sayyidi Khatm ab yeh daur-e-furqat kijiye


Intezar-e-Jaan-e-Jaan hai jaan ko Ya RasoolAllah ﷺ ki kasrat kijiye


Denge woh khud hi mohabbat ka sila Marte dam un ki ziyarat kijiye


Thande thande khushbuon mein bas chalen Yaad-e-gesu waqt-e-rehlat kijiye


Ghous-e-Azam aap se faryad hai Dastgeeri mere Hazrat kijiye


Rehlat-e-Akhtar ka hangam aa gaya Saya-e-rehmat mein rukhsat kijiye

Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah