Aankh bhar kar kise qausain makeen dekhte hain Aankh rehti hai kahin aur kahin dekhte hain Seerat-e-pak ka har rukh hai munawwar itna Jagmagaati hui Quran ki jabeen dekhte hain Daira kitna hai nazron ka Khuda hi jaane Arsh aur farsh ko yaksaan Shah-e-Deen dekhte hain Un ki azmat ko kahan farsh nasheen samjhenge Jin ko hairat se sab aflaak nasheen dekhte hain a Rooh karti hai tawaf-e-dar-e-aqdas jab bhi Hum to sar-ta-ba-qadam khud ko jabeen dekhte hain Is qadar Gumbad-e-Khizra ki fiza roshan hai Dekhne wale Khuda ko bhi yahin dekhte hain Shauq mauqoof nahi ishq-e-Nabi qurbat par Door wale bhi unhein dil ke qareen dekhte hain





