Aalam mein kya hai jis ki keh tujh ko khabar nahin Zarrah hai kaun sa teri jis par nazar nahin
Arz-o-sama nahin hain keh shams-o-qamar nahin Kis cheez par Habib-e-Khuda ka asar nahin
Najdi shaqi khabees la'een ka yeh qaul hai Makhlooq ki toh kya unhein apni khabar nahin
Qayil ho ilm-e-ghaib-e-Nabi ka woh kyun shaqi Murtad ke dil mein hubb-e-Nabi ka asar nahin
Duniya mein ho zaleel toh uqba mein khwaar ho Jo khaak-e-paye Hazrat-e-Khair-ul-Bashar nahin
Anwaar ka wurood hai bazm-e-Rasool mein Munkir hai be-basar usay aata nazar nahin
Yeh ilm-e-ghaib hai keh Rasool-e-Kareem ne Khabrein woh dein keh jin ki kisi ko khabar nahin
Kehte hain Jibreel bahut main ne ki talash Tujh sa jahan bhar mein koi tajwar nahin
Meraj mein Khuda ne bulaya unhein jahan Wallah us jagah par kisi ka guzar nahin
Taqseem kar raha hai tu aalam mein na'matein Zahir mein go keh paas teray maal-o-zar nahin
Mangta hain hum Rasool ke kyun dar-ba-dar phirein Kya hum ko bheek ke liye Maula ka dar nahin
Beshak rah-e-Madinah mein Najdi ko khauf hai Sunni ko un ki raah mein mutlaq khatar nahin
Allah ke Habib ka daaman hai haath mein Mehshar ki sakhtiyon ka hamein kuch khatar nahin
Sun kar Jameel-e-Qadri tera kalam-e-naat Bhoolenge tujh ko Talib-e-Haq umar bhar nahin





