Aakhiri rozay hain dil ghamnaak muztar jaan hai Hasrata va hasrata ab chal diya Ramzan hai
Aashiqan-e-maah-e-Ramzan ro rahe hain phoot kar Dil bada bechain hai afsurda rooh-o-jaan hai
Dard-o-riqqat se pachaarein kha ke rota hai koi To koi tasveer-e-gham ban kar khada hairan hai
Al-firaaqo aah al-firaaq ae Rabb ke mehman al-firaaq Al-vida ab chaldiya tu ae mah-e-Ramzan hai
Daastaan-e-gham sunayein kis ko ja kar aah! hum Ya RasoolAllah dekho chal diya Ramzan hai
Khoob rota hai tadapta hai gham-e-Ramzan mein Jo musalman qadr-daan-o-aashiq-e-Ramzan hai
Rotay rotay hichkiyan bandh jaati hain ush-shaq ki Tujh mein kaisa soz ae Allah ke mehman hai
Teri furqat mein tere aashiq ka dil tukde hua Aur seena chaak tere hijr mein Ramzan hai
Waqt-e-iftaar-o-sahar ki raunaqein hon gi kahan Chand din ke baad yeh saara samaan sunsaan hai
Teri aamad se dil-e-pazmurda khil uthay magar Jald tadpa kar humein tu chal diya Ramzan hai
Haaye sad afsos! Ramzan ki na hum ne qadr ki Be-sabab hi bakhsh de Ya Rabb ke tu Rehman hai
Maah-e-Ramzan tujh mein jo rozay nahin rakhta koi Woh bada mehroom hai badbakht hai naadan hai
Kar rahe hain tujh ko ro ro kar musalman al-vida Aah! ab tu chand ghariyon ka faqat mehman hai
Rok saktay hi nahin haaye tujhay ab kya karein Sab ko rota chhor kar tu chal diya Ramzan hai
Assalam ae maah-e-Ramzan tujh pe hon laakhon salam Hijr mein ab tera har aashiq hua be-jaan hai
Chand aansoo nazr hain bas aur kuch pallay nahin Nekiyon se aah! yeh khaali mera daaman hai
Waasta Ramzan ka Ya Rabb! humein tu bakhsh de Nekiyon ka apnay pallay kuch nahin saamaan hai
Dast-e-basta iltija hai hum se raazi ho ke ja Bakhshwana hashr mein haan tu mah-e-ghufran hai
Kaash! aatay saal ho Attar ko Ramzan naseeb Ya Nabi! meethe Madinay mein bada armaan hai





