Ajab rang par hai bahaar-e-Madinah Ke sab jannatein hain nisaar-e-Madinah
Mubarak rahe andaleebo tumhein gul Hamein gul se behtar hai khaar-e-Madinah
Meri khaak ya Rab na barbaad jaaye Pas-e-marg kar de ghubaar-e-Madinah
Malaaik lagate hain aankhon mein apni Shab-o-roz khaak-e-mazaar-e-Madinah
Jidhar dekhiye baagh-e-jannat khula hai Nazar mein hain naqsh-o-nigaar-e-Madinah
Bana aasman manzil-e-ibn-e-Maryam Gaye la-makaan tajdaar-e-Madinah
Sharaf jin se haasil hua ambiya ko Wahi hai Hasan iftekhaar-e-Madinah