Aah! Har lamha gunah ki kasrat aur bharmar hai Ghalba-e-shaitan hai aur nafs-e-bad-atwar hai
Mujrimon ke wastay dozakh bhi shola-bar hai Har gunah qasdan kiya hai iska bhi iqrar hai
Haye! Na-farmaniyan bad-kariyan be-baqiyan Aah! Naamay mein gunahon ki bari bharmar hai
Chup ke logon se gunahon ka raha hai silsila Teray aagay Ya Khuda har jurm ka izhar hai
Zindagi ki shaam dhalti ja rahi hai haye nafs Garm roz-o-shab gunahon ka hi bas bazaar hai
Ya Khuda! Rahmat teri haawi hai teray qahar par Fazl-o-rahmat ke saharay jee raha badkar hai
Banda-e-badkar hoon be-had zaleel-o-khwar hoon Maghfirat farma Ilahi! Tu bara Ghaffar hai
Maut ke jhatkon pe jhatkay aa rahay hain Al-Madad Sakht be-chaini ke aalam mein ghira bimar hai
Ab sar-e-baaleen Khudara muskuratay aayiye Jaan ba-lab Shah-e-Madinah talib-e-deedar hai
Ghusl denay ke liye ghassal bhi ab aa chuka Ghusl-e-mayyat ho raha hai aur kafan tayyar hai
Ya Nabi! Pani se sara jism mera dhul gaya Nama-e-aamal ko bhi ghusl ab darkar hai
Laad kar kandhon pe ahbab aah! qabristan chalay Wastay tadfeen ke gehra garha tayyar hai
Qabr mein mujh ko lita kar aur mitti daal kar Chal diye saathi na paas ab koi rishtedar hai
Khwab mein bhi aisa andhera kabhi dekha na tha Jaisa andhera hamari qabr mein Sarkar hai
Ya RasoolAllah! Aakar qabr roshan kijiye Zaat beshak aap ki toh manba-e-anwar hai
Qabr mein Shah-e-Madinah aa chukay Munkar Nakeer Ho karam Lillah banda bekas-o-nachar hai
Ya Nabi! Jannat ki khirki qabr mein khulwayiye Phir toh fazl-e-Rab se apni qabr bhi gulzar hai
Tu ne duniya mein bhi aibon ko chupaya Ya Khuda Hashr mein bhi laaj rakh lena ke Tu Sattar hai
Nekiyan pallay nahi Aaqa shafa'at kijiye Aap ki nazar-e-karam hogi toh baira paar hai
Ya Nabi Attar ko jannat mein day apna jawar Wasta Siddiq ka jo Tera yaar-e-ghaar hai
Kaash ho aisi Madinay mein kabhi toh haziri Yeh khabar aaye watan mein mar gaya Attar hai





