Aa gaye hain Mustafa sall-e-ala khush aamdeed Ho gaye jalwa numa sall-e-ala khush aamdeed
Sayyid-o-sardar-e-ma sall-e-ala khush aamdeed Raazdar-e-Kibriya sall-e-ala khush aamdeed
Maalik-o-mukhtar-e-ma sall-e-ala khush aamdeed Naib-e-Rabb-ul-Ula sall-e-ala khush aamdeed
Gumrahi se lo bacha aur seedhay rastay par chala Ay hamaray rehnuma sall-e-ala khush aamdeed
Muskurati phool barsati aur ithlati hui Gungunati hai saba sall-e-ala khush aamdeed
Bulbulain hain naghma khwan aur parh rahi hain qumriyan Naat-e-pak-e-Mustafa sall-e-ala khush aamdeed
Sabz parcham char su lehra rahay hain jashn hai Aamad-e-Mehboob ka sall-e-ala khush aamdeed
Gham zado gham khao mat ay bay-kaso ghabrao mat Aa gaye mushkil kusha sall-e-ala khush aamdeed
Jhoom jao bay-kaso imdad karnay aa gaye Khalq kay haajat rawa sall-e-ala khush aamdeed
Bay-navao aao tum, aao gadao aao tum Sadqa lay lo Noor ka sall-e-ala khush aamdeed
Aminah kay ghar pay chaltay hain sab aao mil kay sath Aur lagatay hain sada sall-e-ala khush aamdeed
Bay-kason kay daad ras ay khalq kay faryad ras Door kar ranj-o-bala sall-e-ala khush aamdeed
Chashm-e-rehmat kijiye apni mohabbat dijiye Dar pay hazir hai gada sall-e-ala khush aamdeed
Apna gham day dijiye aur chashm-e-nam day dijiye Dar pay hazir hai gada sall-e-ala khush aamdeed
Dard-e-isiyan ki dawa do tum shifa do tum shifa Dar pay hazir hai gada sall-e-ala khush aamdeed
Gumbad-e-Khazra kay jalwon say yeh dil aabad ho Dar pay hazir hai gada sall-e-ala khush aamdeed
Aap kay qadmon mein Aaqa khatima bil-khair ho Dar pay hazir hai gada sall-e-ala khush aamdeed
Ab Baqi-e-Pak mein do gaz zameen day dijiye Dar pay hazir hai gada sall-e-ala khush aamdeed
Jhoom kar haan jhoom kar Attar lab ko choom kar Mast ho kar do sada sall-e-ala khush aamdeed





