Agar chamka muqaddar khaak-e-paaye rehrawan ho kar Chalein ge baithte uthte ghubar-e-karwan ho kar
Shab-e-Meraj woh dam bhar mein palte la-makan ho kar Bahar-e-hasht jannat dekh kar haft-aasman ho kar
Chaman ki sair se jalta hai ji Taiba ki furqat mein Mujhe gulzar ka sabza rulata hai dhuan ho kar
Tasawwur us lab-e-jaan-bakhsh ka kis shaan se aaya Dilon ka chain ho kar jaan ka aaram-e-jaan ho kar
Karein ta’zeem meri Sang-e-Aswad ki tarah momin Tumhare dar pe reh jaaun jo sang-e-aastaan ho kar
Dikha de ae Khuda gulzar-e-Taiba ka samaan mujh ko Phirun kab tak pareshan bulbul-e-be-aashiyan ho kar
Huye yumn-e-qadam se farsh-o-arsh-o-la-makan zinda Khulasa yeh ke Sarkar aaye hain jaan-e-jahan ho kar
Tere dast-e-ata ne daulatein dein dil kiye thande Kahin gohar-fishan ho kar kahin aab-e-rawan ho kar
Fida ho jaaye ummat us himayat us mohabbat par Hazaron gham liye hain ek dil par shadman ho kar
Jo rakhte hain salateen shahi-e-Javed ki khwahish Nishan qaim karein un ki gali mein be-nishan ho kar
Woh jis reh se guzarte hain basi rehti hai muddat tak Naseeb us ghar ke jis ghar mein woh thehrein mehman ho kar
Hassan kyun paanv tode baithe ho Taiba ka rasta lo Zameen-e-Hind sargardan rakhe gi aasman ho kar





