Huzoor-e-Ka'bah hazir hain haram ki khaak par sar hai Bari sarkar mein pohanche muqaddar yavari par hai
Na hum aane ke laiq the na moonh qabil dikhane ke Magar un ka karam zarra-nawaz-o-banda-parwar hai
Khabar kya hai bhikari kaisi kaisi ni'matein paaein Yeh ooncha ghar hai is ki bheek andaza se bahar hai
Tasadduq ho rahe hain laakhon bande gird phir phir kar Tawaaf-e-khanah-e-Ka'bah ajab dilchasp manzar hai
Khuda ki shaan yeh lab aur bosah sang-e-aswad ka Hamara moonh aur is qabil ataye Rabb-e-Akbar hai
Jo haibat se ruke mujrim to rahmat ne kaha barh kar Chale aao chale aao yeh ghar Rahman ka ghar hai
Maqam-e-Hazrat-e-Khillat pidar sa meharbaan paaya Kaleja se lagane ko Hateem aaghosh-e-madar hai
Lagata hai ghilaf-e-paak koi chashm-e-purnam se Lipat kar Multazam se koi mahv-e-wasl-e-dilbar hai
Watan aur is ka tarka sadqe is shaam-e-gharibi par Ke noor-e-Rukn-e-Shaami rukash-e-subh-e-munawwar hai
Hue imaan taaza bosah-e-Rukn-e-Yamani se Fida ho jaaun Yaman-o-aimani ka paak manzar hai
Yeh Zamzam is liye hai jis liye is ko piye koi Isi Zamzam mein jannat hai isi Zamzam mein Kausar hai
Shifa kyun kar na paaein neem jaan zehar-e-ma'asi ke Ke nazara Iraqi rukn ka tiryaq-e-Akbar hai
Safaye qalb ke jalwe ayan hain sa'i-e-Mas'a se Yahan ki be-qarari bhi sukoon-e-jaan-e-muztar hai
Hawa hai peer ka Hajj peer ne jin se sharaf paaya Unhein ke fazl se din Jummah ka har din se behtar hai
Nahin kuch Jummah par mauqoof afzal-o-karam un ke Jo woh maqbool farma lein to har Hajj Hajj-e-Akbar hai
Hassan haj kar liya Ka'bah se aankhon ne ziya paai Chalo dekhein woh basti jis ka rasta dil ke andar hai





