Aflak se ooncha hai aiwan-e-Muhammad ka Makhlooq-e-Ilahi hai saman-e-Muhammad ka
Paate hain sabhi sadqa unke dar-e-aqdas se Har zarra-e-alam hai mehman-e-Muhammad ka
Hoti hai har ik naimat taqseem Madine se Konain mein jaari hai faizan-e-Muhammad ka
Dete hain malak pehra Sarkar ke rauze par Jibraeel-e-mu'azzam hai darban-e-Muhammad ka
Aalam hai agar sheeda un par toh ta'ajjub kya Khud chahne wala hai Rehman-e-Muhammad ka
Shahan-e-jahan kyonkar rakhein na sar aankhon par Farman-e-Ilahi hai farman-e-Muhammad ka
Hoor-o-malak-o-ghilman jin-o-bashar-o-haiwan Lete hain sabhi sar par farman-e-Muhammad ka
Taibah ko jo jata hai kehte hain malak baham Lo dekho woh aata hai mehman-e-Muhammad ka
Takleef-e-safar se toh dil tang na ho zaair Barse ga tere oopar baran-e-Muhammad ka
Roya mein na dekha gar woh chehra-e-noorani Le jaaun ga duniya se arman-e-Muhammad ka
Afsos ke ae bulbul tu ne na kabhi dekha Be-khar gulistan hai bustan-e-Muhammad ka
Kyon chaak ho gham se dil kyon fauj-e-alam ghere Sar par hai ghulamon ke daman-e-Muhammad ka
Duniya ki sabhi baatein mit jayen mere dil se Ho wird-e-zaban kalma har aan-e-Muhammad ka
Jab madh-o-sana Haq ne Quran mein farmayi Kya munh hai jo wasif ho insan-e-Muhammad ka
Taqdeer Jameel apni shahon se rahe barh kar Sag apna banaye gar darban-e-Muhammad ka





