Aisa tujhe Khaliq ne tarah-daar banaya Yusuf ko tera talib-e-deedar banaya
Tal'at se zamana ko pur-anwar banaya Nakhat se gali kuchon ko gulzar banaya
Deewaron ko aaina banate hain woh jalwe Aaeeno ko jin jalwon ne deewar banaya
Woh jins kya jis ne jise koi na pooche Us ne hi mera tujh ko kharidar banaya
Ae nazm-e-risalat ke chamakte hue maqta Tu ne hi ise matla-e-anwar banaya
Konain banaye gaye Sarkar ki khatir Konain ki khatir tumhein Sarkar banaya
Kunji tumhein di apne khazano ki Khuda ne Mehboob kiya malik-o-mukhtar banaya
Allah ki rehmat hai ke aise ki yeh qismat Aasi ka tumhein hami-o-ghamkhar banaya
Aaina-e-zaat-e-Ahadi aap hi thehre Woh husn diya aisa tarah-daar banaya
Anwar-e-tajalli se woh kuch hairatein chhayin Sab aaeeno ko pusht-e-badiwar banaya
Aalam ke salateen bhikari hain bhikari Sarkar banaya tumhein Sarkar banaya
Gulzar ko aaina kiya munh ki chamak ne Aaina ko rukhsaar ne gulzar banaya
Yeh lazzat-e-paboos ke pathar ne jigar mein Naqsh-e-qadam-e-Sayyid-e-Abrar banaya
Khuddam to bande hain tere khulq-e-hasan ne Pyare tujhe badkhwah ka ghamkhar banaya
Be-parda woh jab khak-nasheenon mein nikal aaye Har zarra ko khursheed-e-pur-anwar banaya
Ae mah-e-Arab mehr-e-Ajam mein tere sadqe Zulmat ne mere din ko shab-e-taar banaya
Lillah karam mere bhi veerana-e-dil par Sehra ko tere husn ne gulzar banaya
Allah Ta'ala bhi hua us ka tarafdar Sarkar tumhein jis ne tarafdar banaya
Gulzar-e-jinan tere liye Haq ne banaye Apne liye tera gul-e-rukhsar banaya
Be-yar-o-madadgar jinhein koi na pooche Aison ka tujhe yar-o-madadgar banaya
Har baat bada'amaliyon se main ne bigari Aur tum ne meri bigri ko har baar banaya
Us jalwa-e-rangeen ka tasadduq tha ke jis ne Firdaus ke har takhta ko gulzar banaya
Un ke dar-e-dandan ka woh sadqa tha ke jis ne Har qatra-e-nisan durr-e-shahwar banaya
Is rooh-e-mujasam ke tabarruk ne Maseeha Jaan bakhsh tumhein yun dam-e-guftar banaya
Is chehra-e-pur-noor ki woh bheek thi jis ne Mehr-o-mah-o-anjum ko pur-anwar banaya
Un hathon ka jalwa tha yeh ae Hazrat-e-Musa Jis ne yad-e-baiza ko ziya bar banaya
Un ke lab-e-rangeen ki nichawar thi woh jis ne Pathar mein Hasan la'al-e-pur-anwar banaya





