Aabroo-e-zameen Sharh-e-imaan-o-deen Ashraf-ul-aalameen Ayn-e-ilm-o-yaqeen Sidq-o-sadiq-e-ameen Arsh-o-Sidrah-nasheen Akmal-ul-aalameen Akram-ul-akrameen
Athar-ut-tahireen Door-ras doorbeen Sayyid-ul-aarifeen Qaid-e-mursaleen Warith-e-momineen Afdal-o-behtareen Intihai haseen Marhaba-o-aafreen
Mustafa Mujtaba Khatam-ul-Anbiya Rooh-e-arz-o-sama Jaan-e-subh-o-masa Shaari-e-la-ilaha Jalwa-e-haq-numa Shama-e-ghaar-e-Hira Bahr-e-jood-o-sakha Abr-e-lutf-o-ataa Khush-nazar khush-nawa Raas-e-adl-o-qaza Rehbar-o-peshwa Kaaba-e-awliya Daafi-e-har-bala Husn-e-sabr-o-raza Maqta-e-jaanfiza
Sayyid-e-kainaat Haq Ta'ala ka haath Sahib-e-mo'jizaat Jaami-e-har-sifaat Roshni ki baraat Lamhay lamhay kay saath Iqtidaar-e-hayaat Mahir-e-nafsiyat Waqf-e-saum-o-salat Khoogar-e-iltifaat Aitibar-e-najaat Sheh-yaar-e-sabaat Ishq ki kulliyaat Shahid-e-shash-jihaat Mustanad baat baat Zindagi ki lughaat
Khassa-e-Kardigar Zi-hasham zi-waqar Be-had-o-be-shumar Mustaqil tajdar Jannaton ki bahaar Husn-e-lail-o-nahaar Sahib-e-ikhtiyar Moonis-o-ghamgusar Barq kay shehsawar Aasmanon kay paar Do jahan ka madaar Roz-o-shab ka hisaar Saalik-e-arsh-o-ghaar Ta-abad aashkar Paikar-e-inkisaar Munfarid shahkar
Meherbaan meherbaan Khwaja-e-khwajagaan Qibla-e-zahidaan Kaaba-e-qudsiyaan Raahat-e-ashiqaan Fakhr-e-kon-o-makaan Murshid-e-ins-o-jaan Shafi-e-aasiyaan Naazish-e-aarifaan Nayyar-e-do-jahaan Be-nishan ka nishan Be-zabaan ki zabaan Rooh ka saaybaan Ta-abad hukmaraan
Ae Khuda kay safeer Ae Nabi-e-Qadeer ﷺ Ae buzurg-o-kabeer Tu Siraj-e-Muneer Tu Basheer-o-Nazeer Tu hai Khair-e-Kaseer Khaak-e-pa bhi abeer Aabshar-e-nameer Aadamiyat kay peer Bandagi kay mudeer Qaaflon kay ameer Chaara-gar dastgeer Har ada dil-pazeer Roshni-e-zameer
Rahmat-e-Zuljalal Be-nazeer-o-misaal Intiha-e-jamaal Akmal-o-ba-kamaal Teri chadar hilaal Tera naukar Bilal Teri chup bhi maqaal Tera farda bhi haal Teri sadiyaan bhi saal Tegh bhi teri dhaal Ghaib tera wisaal Naik-kho naik-faal Maalik-e-aitidaal Dekh ummat ka haal Mushkilon say nikaal Gir rahi hai sambhaal





