Aasiyon ko dar tumhara mil gaya Be-thikanon ko thikana mil gaya
Fazl-e-Rabb se phir kami kis baat ki Mil gaya sab kuch jo Taibah mil gaya
Un ke dar ne sab se mustaghni kiya Be-talab be-khwahish itna mil gaya
Nakhuda'i ke liye aaye Huzoor Doobton ko sahara mil gaya
Dono aalam se mujhe kyun kho diya Nafs khud talab tujhe kya mil gaya
Aankhein pur-nam ho gayin sar jhuk gaya Jab tera naqsh-e-kaf-e-pa mil gaya
Khuld kaisa kya chaman kis ka watan mujh ko sahra-e-Madinah mil gaya
Hai mohabbat kis qadar naam-e-Khuda Naam-e-Haq se naam-e-wala mil gaya
Tere dar ke tukde hain aur main ghareeb Mujh ko rozi ka thikana mil gaya
Ae Hassan Firdous mein jaayein janab Hum ko sahra-e-Madinah mil gaya





