Aashiqo wird karo sall-e-ala aaj ki raat Main parhoon Shah ki kuch madh-o-sana aaj ki raat
Zeb-e-duniya huye woh Shah-e-Huda aaj ki raat Donon aalam mein hai yeh shor bapa aaj ki raat
Phaili aalam mein Muhammad ki ziya aaj ki raat Mah-o-khursheed ne munh dhank liya aaj ki raat
Maang lo maangna ho jis ko dua aaj ki raat Wa dar-e-paak-e-ijabat ka hua aaj ki raat
Naar-e-Faras ki bujhi noor-e-Ilahi chamka Qate-e-shirk hua jalwa-numa aaj ki raat
Khushk Sawa hai samawa mein hai darya jaari Lo zamana ka hua rang-e-naya aaj ki raat
Is liye nasb kiya sabz alam Kaaba par Haft-e-iqleem ka maalik woh hua aaj ki raat
Ahl-e-tauheed se takbeer ka woh shor utha Ke sanam khanon mein kehram macha aaj ki raat
Zalzala aa gaya shaq ho gaya qasr-e-Kisra Toot kar kungaron ka dher hua aaj ki raat
Shama-e-tauheed se roshan hua sara aalam Kufr-e-kuffar ka kafoor hua aaj ki raat
Sar-nigoon ho gaye but roo-e-zameen ke saare Kaaba-e-paak bhi sajde mein jhuka aaj ki raat
Sar-e-aflaak khameeda hai falak ke aage Toote parte hain sitare zi-sama aaj ki raat
Aasman hota hai qurbaan yeh zameen se keh kar Ki Khuda ne tujhe daulat yeh ata aaj ki raat
Jaanwar dete hain aapas mein mubarak baadi Aur shayateen mein hai faryaad-o-buka aaj ki raat
Gul woh phoola hai mehak jayenge donon aalam Kehti gulshan mein hai yeh baad-e-saba aaj ki raat
Khalq par barasenge ab khoob karam ke jhaale Jhoom kar Kaaba se hai abr utha aaj ki raat
Aa rahe hain dar-e-aqdas pe muraadein lene Haath phailaye huye Shah-o-gada aaj ki raat
Kisi bekas ki zabaan par yeh sada hai paiham Is taraf ko bhi nazar bahr-e-Khuda aaj ki raat
Apne mehboob ki Allah ne ummat mein kiya Suniyo mil ke karo shukr-e-Khuda aaj ki raat
Aye Jameel-e-Rizvi wasf-e-Nabi kar itna Ke Raza-mand ho Ahmed ki Raza aaj ki raat





