Aap aaqaon ke aaqa aap hain Shah-e-Anaam Ya Rasool Allah main hoon aap ka adna ghulam
Baat ki himmat nahi padti adab ka hai maqam Dil ijazat hi nahi deta karoon kaise kalam
Soz-e-Sarkar ae Khudaye Paak tu kar de ata Ishq-e-Sarwar mein tadapta hi rahoon Maula mudam
Ya Ilahi! mujh ko deewana Madine ka bana Kaash! ho zikr-e-Madinah mere lab par subah-o-shaam
Talkhiyon mein khush rahoon aur lazzaton se be-niyaz Kaash! qabu mein rahe yeh mera nafs-e-bad-lagam
Jo tadapte hain Madine ki judai mein Shaha! Un ghareebon ka bhi kar do Ya Nabi kuch intezam
Ab to de do tum Madine mein shahadat ka sharaf Ya Nabi! kar do yeh poori aarzoo-e-natamam
Hashr ki garmi bala ki pyaas se hoon neem jaan Saqiya! Allah Kausar ka chalakta ek jaam
Ya Ilahi! faltu baton ki aadat door ho Kaash! lab par koi bhi jaari na ho be-ja kalam
Har ghadi sharm-o-haya se bas rahe neechi nazar Paikar-e-sharm-o-haya ban kar rahoon aaqa mudam
Ae Khudaye Mustafa Attar ko woh aankh de Ho gham-e-mehboob mein aansu bahana jis ka kaam





