We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Aaj hain har jagah aashiqan-e-Rasool Mahv-e-naat-o-sana aashiqan-e-Rasool


Jashn, milaad ka sab rahe hain mana Bandagan-e-Khuda aashiqan-e-Rasool


Jashn-e-milaad se ishq hai pyaar hai Hain manate sada aashiqan-e-Rasool


Maah-e-milaad mein khoob lehrayiye Ghar pe jhanda hara aashiqan-e-Rasool


Aamad-e-Mustafa ﷺ marhaba marhaba Sab lagao sada aashiqan-e-Rasool


Seekhne sunnatein, masjid aao chalein Laaye hain qafila aashiqan-e-Rasool


Yaad rakhna sabhi chhodna mat kabhi Daaman-e-Mustafa ﷺ aashiqan-e-Rasool



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Rahmat-e-Kibriya tum pe ho daa'iman Hai hamari dua aashiqan-e-Rasool


Tum pe fazl-e-Khuda, rahmat-e-Mustafa ﷺ Ho baroz-e-jaza aashiqan-e-Rasool


Kaash! duniya mein tum do bafazl-e-Khuda Deen ka danka baja aashiqan-e-Rasool


Tum pe ho qabr mein har jagah hashr mein Saaya-e-Mustafa ﷺ aashiqan-e-Rasool


Be-namazi rahein kuch na rozey rakhein Un ko kis ne kaha aashiqan-e-Rasool


Aalimon par hansein, phabtiyan bhi kasein Un ko kis ne kaha aashiqan-e-Rasool


Jo ke gaane sunein, film-beeni karein Un ko kis ne kaha aashiqan-e-Rasool


Bad-nigahi karein, bad-kalami karein Un ko kis ne kaha aashiqan-e-Rasool


Khayein rizq-e-haraam, aise hain bad-lagaam Un ko kis ne kaha aashiqan-e-Rasool


Ahad toda karein, jhoot bola karein Un ko kis ne kaha aashiqan-e-Rasool


Jo satate rahein dil dukhate rahein Un ko kis ne kaha aashiqan-e-Rasool


Chughliyon tohmaton, mein jo mashghool hon Un ko kis ne kaha Aashiqan-e-Rasool


Gaaliyan jo bakein aib-darriyan karein Un ko kis ne kaha? Aashiqan-e-Rasool


Daadhiyan jo mundaayein karein ghibatein Un ko kis ne kaha? Aashiqan-e-Rasool


Kaash! Attar ka Taibah mein khatima Ho karo yeh dua aashiqan-e-Rasool

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah