Wah kya martaba ae Ghous hai bala tera Oonche oonchon ke saron se qadam aala tera
Sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera Auliya milte hain aankhein woh hai talwa tera
Kya dabe jis pe himayat ka ho panja tera Sher ko khatre mein lata nahin kutta tera
Tu Husaini Hasani kyon na Mohiyuddin ho Ae Khizr majma-e-bahrain hai chashma tera
Qasmein de de ke khilata hai pilata hai tujhe Pyara Allah tera chahne wala tera
Mustafa ke tan-e-be-saya ka saya dekha Jis ne dekha meri jaan jalwa-e-zeba tera
Ibn-e-Zahra ko mubarak ho aroos-e-qudrat Qadri payein tasadduq mere dulha tera
Kyon na Qasim ho ke tu Ibn-e-Abi-l-Qasim hai Kyon na Qadir ho ke mukhtar hai baba tera
Nabawi meenh Alawi fasl Batooli gulshan Hasani phool Husaini hai mehkna tera
Nabawi zill Alawi burj Batooli manzil Hasani chand Husaini hai ujala tera
Nabawi khoor Alawi koh Batooli ma'dan Hasani la'al Husaini hai tajalla tera
Bahr-o-bar shahr-o-qura sahl-o-huzun dasht-o-chaman Kaun se chak pe pahunchta nahin dawa tera
Husn-e-niyyat ho khata phir kabhi karta hi nahin Aazmaya hai yagana hai dogana tera
Arz-e-ahwal ki pyason mein kahan taab magar Aankhein ae abr-e-karam takti hain rasta tera
Maut nazdeek gunahon ki tahein mail ke khol Aa baras ja ke naha dho le yeh pyasa tera
Aab aamad woh kahe aur main tayammum barkhast Musht-e-khaak apni ho aur noor ka ahla tera
Jaan to jaate hi jayegi qayamat yeh hai Ke yahan marne pe thehra hai nazara tera
Tujh se dar dar se sag aur sag se hai mujhko nisbat Meri gardan mein bhi hai door ka dora tera
Is nishani ke jo sag hain nahin mare jaate Hashr tak mere gale mein rahe patta tera
Meri qismat ki qasam khayein sagan-e-Baghdad Hind mein bhi hoon to deta rahoon pehra tera
Teri izzat ke nisar ae mere ghairat wale Aah sad aah ke yun khwar ho irwa tera
Bad sahi, chor sahi, mujrim-o-nakara sahi Ae woh kaisa hi sahi hai to karima tera
Mujhko ruswa bhi agar koi kahega to yun hi Ke wohi na, woh Raza bandah-e-ruswa tera
Hain Raza yun na bilak tu nahin jaiyyit-o-na ho Sayyid-e-jaiyyid-e-har dahr hai maula tera
Fakhr-e-Aqa mein Raza aur bhi ik nazm-e-rafi' Chal likha layein sana khwanon mein chehra tera





