Tu hai woh Ghous keh har Ghous hai shaida tera Tu hai woh Ghais keh har Ghais hai pyasa tera
Suraj aglon ke chamakte the chamak kar doobay Ufaq-e-noor pe hai meher hamesha tera
Murgh sab boltay hain bol ke chup rehtay hain Haan aseel ek nawa-sanj rahe ga tera
Jo wali qabl thay ya baad huay ya honge Sab adab rakhte hain dil mein mere Aaqa tera
Ba-qasam kehte hain Shahan-e-Sarifeen-o-Haram Ke hua hai na wali ho koi hamta tera
Tujh se aur dahr ke aqtab se nisbat kaisi Qutb khud kaun hai khadim tera cheela tera
Saaray aqtab-e-jahan karte hain Kaaba ka tawaf Kaaba karta hai tawaf-e-dar-e-wala tera
Aur parwanay hain jo hotay hain Kaaba pe nisar Shama ek tu hai keh parwana hai Kaaba tera
Shajar-e-sarv sahi kis ke ugaye teray Marifat phool sahi kis ka khilaya tera
Tu hai Naushah barati hai yeh sara gulzar Layi hai fasl-e-saman goondh ke sehra tera
Daaliyan jhoomti hain raqs-e-khushi josh pe hai Bulbulain jhoolti hain gati hain sehra tera
Geet kaliyon ki chatak ghazlain hazaron ki chahak Baagh ke saazon mein bajta hai tarana tera
Saff-e-har shajra mein hoti hai salami teri Shaakhain jhuk jhuk ke baja lati hain mujra tera
Kis gulistan ko nahi fasl-e-bahari se niaz Kaun se silsila mein faiz na aaya tera
Nahi kis chand ki manzil mein tera jalwa-e-noor Nahi kis aaina ke ghar mein ujala tera
Raaj kis shahar mein karte nahi teray khuddam Baaj kis nahar se leta nahi darya tera
Mazra-e-Chisht-o-Bukhara-o-Iraq-o-Ajmer Kaun si kisht pe barsa nahi jhala tera
Aur mehboob hain, haan par sabhi yaksaan to nahi Yun to mehboob hai har chahnay wala tera
Is ko sau fard sarapa ba-faraghat orhain Tang ho kar jo utarne ko ho neema tera
Gardnain jhuk gayin sar bichh gaye dil loot gaye Kashf-e-saaq aaj kahan yeh to qadam tha tera
Taaj-e-farq-e-urfa kis ke qadam ko kahiye! Sar jisay baaj dain woh paon hai kis ka tera
Sukr ke josh mein jo hain woh tujhe kya janain Khizr ke hosh se poochay koi rutba tera
Aadmi apnay hi ahwal pe karta hai qiyas Nashay walon ne bhala sukr nikala tera
Woh to chota hi kaha chahain keh hain zer-e-hazeez Aur har auj se ooncha hai sitara tera
Dil-e-aada ko Raza tez namak ki dhun hai Ek zara aur chirakta rahe khama tera





