Tere dar se hai mangton ka guzara ya Shah-e-Baghdad Yeh sun kar main ne bhi daaman pasara ya Shah-e-Baghdad
Meri qismat ka chamka do sitara ya Shah-e-Baghdad Dikha do apna chehra pyara pyara ya Shah-e-Baghdad
Ijazat do ke main Baghdad hazir ho ke phir kar loon Tumhare neele gumbad ka nazara ya Shah-e-Baghdad
Gham-e-Shah-e-Madinah mujh ko tum aisa ata kar do Jigar tukre ho dil bhi para para ya Shah-e-Baghdad
Madine ka bana do tum mujhe kuch aisa deewana Phiron diwangi mein mara mara ya Shah-e-Baghdad
Khuda ke khauf se roye Nabi ke ishq mein roye Ata kar do woh chashm-e-tar khudara ya Shah-e-Baghdad
Gunahon ke maraz ne kar diya hai neem jaan mujh ko Tumhein aa ke karo ab koi chara ya Shah-e-Baghdad
Mujhe achha bana do murshidi beshak yaqeenan hain Mere halaat tum par aashkara ya Shah-e-Baghdad
Sudharo murshidi lillah apne dheet banday ko Na jane tum ne kitnon ko sudhara ya Shah-e-Baghdad
Hui jaati hai ujar ab meri umeed ki kheti Bharan barsa do rehmat ki khudara ya Shah-e-Baghdad
Karam Meeran! Mere ujre gulistan mein bahaar aaye Khizan ka rukh phira do ab khudara ya Shah-e-Baghdad
Shaha! Khairaat lene ko salateen-e-zamana ne Tere darbaar mein daaman pasara ya Shah-e-Baghdad
Garajte baadalon ka shor chalti aandhiyon ka zor Larazta hai kaleja do sahara ya Shah-e-Baghdad
Bachalo dushmanon ke waar se Ya Ghaus Jilani Badi umeed se tum ko pukara ya Shah-e-Baghdad
Waseela chaar yaron ka Khuda se bakshwa deeje Karam farmayiye mujh par khudara ya Shah-e-Baghdad
Agarche laakh paapi hai magar Attar kiska hai Tumhara hai tumhara hai tumhara ya Shah-e-Baghdad





