Sunay kaun qissa-e-dard-e-dil mera ghamgusar laago Jisay aashnaayon ka paas tha, woh wafa shaar chala gaya
Wahi bazm hai wahi dhoom hai, wahi aashiqon ka hujoom hai Hai kami toh bas mere chaand ko, jo teh-e-mazaar chala gaya
Woh sukhan shanaas woh dard been, woh gada nawaaz woh mah-jabeen Woh haseen woh bahr-e-uloom-e-deen, mera taajdaar chala gaya
Kahaan ab sukhan mein woh garmiyaan keh nahin raha koi qadrdaan Kahaan ab woh aashiqon mein mastiyaan keh woh pur-waqaar chala gaya
Jisay main sunaata tha dard-e-dil woh jo poochta tha gham-e-daroon Woh gada nawaaz bichhar gaya, woh attaar shaar chala gaya
Yeheen kyun Naseer na ashk-e-gham, rahey kyun na lab par mere fughaan Humein be-qaraar woh chhor kar sar-e-rahguzar chala gaya





