Sultan-e-Auliya ko hamara salam ho Jilaan ke peshwa ko hamara salam ho
Pyare Hasan Hussain ke, Haider ke laadle Mehboob-e-Mustafa ko hamara salam ho
Woh Ghous jis ke khauf se jinnat kaanp uthein Us dafa-e-bala ko hamara salam ho
Choda hai maa ka doodh bhi maah-e-siyam mein Sartaaj-e-atqiya ko hamara salam ho
Sab auliya ki gardanein zer-e-qadam hain kham Sardaar-e-asfiya ko hamara salam ho
Dil ki jo baat jaan le roshan zameer hai Us mard-e-ba-safa ko hamara salam ho
Bhatke huon ko raasta seedha dikha diya Aalam ke rahnuma ko hamara salam ho
Girte sambhalein, doobti kashti bachayein jo Ghamkhwar-e-gham-zada ko hamara salam ho
Poori murad jo kare aur jholiyan bhare Us makhzan-e-ata ko hamara salam ho
Izn-e-Khuda-e-Pak se murde jilaye jo Us mazhar-e-Khuda ko hamara salam ho
Keh kar ke "La-takhaf" hamein be-khauf kar diya Us rehmat-e-Khuda ko hamara salam ho
Padhte raho mudam yeh Attar Qadri Sultan-e-Auliya ko hamara salam ho





