Rau'naq-e-kul awliya Ya Ghous-e-Azam Dastgeer Peshwa-e-asfiya Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Aap hain peeron ke peer aur aap hain roshan zameer Aap Shah-e-atqiya Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Awliya ki gardanein hain aap ke zer-e-qadam Ya Imam-ul-Awliya Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Thar-thar aate hain shaha jinnat tere naam se Hai tera woh dabdaba Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Paida hote hi rakhe Ramzan mein rozay, din mein doodh Ka na ik qatra piya Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Jis tarah murday jalaye is tarah murshid mere Murda dil ko bhi jila, Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Ahl-e-mahshar dekhte hi hashr mein yun bol uthay Marhaba sad marhaba Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Aap jaisa peer hotay kya gharaz dar-dar phiroon Aap se sab kuch mila Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Go zaleel-o-khwar hoon badkar-o-badkardar hoon Aap ka hoon aap ka, Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Raasta pur-khar, manzil door, ban sunsaan hai Al-madad ae rahnuma! Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Ghous-e-Azam! aayiye meri madad ke wastay Dushmanon mein hoon ghira Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Aafatein bhi door hon, ranj-o-bala kafoor hon Az tufail-e-Mustafa Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Izn do Baghdad ka har ik aqeedat-mand ko Gyarahween walay piya Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Meethay murshid haziri ko ik zamana ho gaya Dar pe phir mujh ko bula, Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Mere meethay meethay murshid aayiye na khwab mein Wasta Sarkar ka, Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Apni ulfat ki pila kar may mujhe Ya Murshidi Mast aur bekhud bana Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Lamha lamha barh raha hai haye! isiyan ka maraz Deejiye mujh ko shifa, Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Murshidi mujh ko bana de tu mareez-e-Mustafa Az paye Ahmad Raza, Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Apne Rab se Mustafa ka gham dila de murshidi Haath utha ke kar dua Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Ab sirhanay aao murshid aur mujhe kalma parhao Dam labon par aa gaya Ya Ghous-e-Azam Dastgeer
Hai yehi Attar ki haajat Madeenay mein maray Ho inayat Sayyida, Ya Ghous-e-Azam Dastgeer





