Pare mujh par na kuch uftaad Ya Ghous Madad par ho teri imdaad Ya Ghous
Uray teri taraf baad-e-fana khaak Na ho mitti meri barbaad Ya Ghous
Meray dil mein basein jalway tumharay Yeh veerana banay Baghdad Ya Ghous
Na bhooloon bhool kar bhi yaad teri Na yaad aaye kisi ki yaad Ya Ghous
Mureedi la takhaf farmatay aao Bulaon mein hai yeh nashaad Ya Ghous
Galay tak aa gaya sailaab-e-gham ka Chala main aaiye faryaad Ya Ghous
Nasheman say ura kar bhi na chora Abhi hai ghaat mein sayyaad Ya Ghous
Khamida sar giraftar-e-qaza hai Kashida khanjar-e-jallaad Ya Ghous
Andheri raat jungle mein akela Madad ka waqt hai faryaad Ya Ghous
Khila do ghuncha-e-khaatir keh tum ho Bahaar-e-gulshan-e-ijaad Ya Ghous
Meray gham ki kahani aap sun lein Kahoon main kis say yeh rodaad Ya Ghous
Rahoon azaad qaid-e-ishq kab tak Karo is qaid say azaad Ya Ghous
Karo gay kab tak acha mujh buray ko Meray haq mein hai kya irshaad Ya Ghous
Gham-e-dunya gham-e-qabr o gham-e-hashr Khudaya kar day mujh ko shaad Ya Ghous
Hassan mangta hai deday bheek daata Rahay yeh raaj paat aabad Ya Ghous





