Masjid-e-Haq ki azaan, Ahmad Raza Ishq ka dar-ul-amaan, Ahmad Raza
Shar'a-o-sunnat ki haqiqi rah-guzar Ma'rifat ka gulistan, Ahmad Raza
Aks-e-batin bhi hai aaina-ba-kaf Jism-e-deen, parchhaiyaan Ahmad Raza
Qail-e-ijma-o-Quran-o-Hadith Husn-e-niyyat ki zaban, Ahmad Raza
Hain tasaneef aap ki lag-bhag hazar Ilm ke koh-e-giraan, Ahmad Raza
Har ada Ashab-e-Suffah ki mureed Saiban-e-ashiqaan, Ahmad Raza
Jo Nabi ﷺ ke khandan-e-wade se chali Us mohabbat ki azaan, Ahmad Raza
Maut ko sikhlayein jeene ka hunar Qabr ki rooh-o-rawaan, Ahmad Raza
Chal rahi hai izn se un ke hawa Nao-e-imaan, baadbaan Ahmad Raza
Raste raste aap ke naqsh-e-qadam Karwan dar karwan, Ahmad Raza
Jaye paidaish Bareilly ki zameen Hain makeen-e-qalb-o-jaan, Ahmad Raza
Zehn, dil, aankhein Muzaffar roshni Chand suraj, kehkashan Ahmad Raza





