We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Markaz e Ilm Hun Kyunkar Na Janab Sidique

Muzaffar Warsi

Markaz-e-ilm hoon kiyonkar na Janab-e-Siddiq Ek ek lafz Muhammad ﷺ ka nisab-e-Siddiq


Junbish-e-chashm-e-Risalat faras-e-Abdullah Naqsh-e-pa-e-Shah-e-Konain, rikab-e-Siddiq


Jis ki har saans mushaqqat ka achoota shahkaar Us ke maathe ka paseena hai sharab-e-Siddiq



Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play


Jis ke lehje mein suni hum ne Khuda ki aawaaz Us ne Abubakar ko bakhsha hai khitab-e-Siddiq


Ghota zan, jis ke kinaron se sadaf chunte hain Woh sadaqat ka samundar hai sarab-e-Siddiq


Taan dein chadar-e-anwaar, barasti boondein Aaftabon ko bhi sharmaye sahab-e-Siddiq


Be-zabaan ho gayi tareekh qayamat tak ki Na jawab-e-Shah-e-Batha na jawab-e-Siddiq


Ibn-e-Usman ka saaya, mere andar ki qaba Kaar farma meri beenai mein khwab-e-Siddiq


Naaz hai mujh ko Muzaffar ke main Siddiqi hoon Mere maazi ki taraf khulta hai baab-e-Siddiq

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah