Ilahi! Fazl hai Tera, gada-e-Aala Hazrat hoon Karam hai aap ka Aaqa, gada-e-Aala Hazrat hoon
Waseela sab Sahaba ka, hai sadqa Aal-e-Zahra ka Karam hai Ghous-o-Khawaja ka, gada-e-Aala Hazrat hoon
Mili ummat Muhammad ki ghulami Ghous-e-Azam ki Dar-e-Khawaja ka hoon mangta, gada-e-Aala Hazrat hoon
Madine aake phir jalwa, main dekhun sabz gumbad ka Raza ka Ya Nabi! sadqa, gada-e-Aala Hazrat hoon
Khudaya teri ulfat mein, Muhammad ki mohabbat mein Mujhe aaya kare rona, gada-e-Aala Hazrat hoon
Daba mat nafs-e-ammara, gunahon par na ab uksa Aye Shaitan dafa tu ho ja, gada-e-Aala Hazrat hoon
Khudaya ho karam aisa, baja doon un ki sunnat ka Jahan mein chaar su dunka, gada-e-Aala Hazrat hoon
Khuda! Ahmed Raza Khan ke, chaloon naqsh-e-qadam par main Ata taufiq tu farma, gada-e-Aala Hazrat hoon
Ilahi! yeh saadat de, Madine mein shahadat de Waseela chaar yaron ka, gada-e-Aala Hazrat hoon
Khuda ki khaas rehmat se, mujhe umeed-e-wasiq hai Parhoon ga naz' mein kalma, gada-e-Aala Hazrat hoon
Jahannam se amaan de de, mujhe bagh-e-jinan de de Mere Maula! karam farma, gada-e-Aala Hazrat hoon
Ameeron maal daron ki, jahan ke taj daron ki Mujhe Attar kya parwa, gada-e-Aala Hazrat hoon





