Hamare Aaqa Hamare Maula Imam-e-Azam Abu Hanifah Hamare Malja Hamare Mawa Imam-e-Azam Abu Hanifah
Zamana bhar mein bahut tajassus kiya walekin Mila na koi Imam tum sa Imam-e-Azam Abu Hanifah
Sipehr-e-ilm-o-amal ke sooraj tum hi ho sab hain tumhare taare Tum hi se chamka hai jo bhi chamka Imam-e-Azam Abu Hanifah
Tumhare aage tamam aalam na kyon kare zanu-e-adab kham Ke peshwayan-e-deen ne maana Imam-e-Azam Abu Hanifah
Na kyon karen naaz Ahl-e-Sunnat ke tum se chamka naseeb-e-ummat Siraj-e-ummat mila jo tum sa Imam-e-Azam Abu Hanifah
Khuda ne tujh ko woh di hai rif'at ke tera mansoob bhi hai marfoo' Teri izafat mein raf' paya Imam-e-Azam Abu Hanifah
Hua ulil amr se yeh saabit ke teri ta'at zaroori wajib Khuda ne tum ko kiya hamara Imam-e-Azam Abu Hanifah
Kisi ki aankhon ka tu hai tara kisi ke dil ka bana sahara Magar kisi ke jigar mein aara Imam-e-Azam Abu Hanifah
Jo teri taqleed shirk hoti muhaddiseen saare hote mushrik Bukhari-o-Muslim Ibn-e-Majah Imam-e-Azam Abu Hanifah
Ke jitne fuqaha muhaddiseen hain tumhare harman se khosha cheen hain Hoon wasite se ke be-waseela Imam-e-Azam Abu Hanifah
Siraj to hai baghair tere jo koi samjhe hadees-o-Quran Phire bhatakta na paaye rasta Imam-e-Azam Abu Hanifah
Khabar le ae dastgeer-e-ummat hai Salik-e-be-khabar pe shiddat Woh tera ho kar phire bhatakta Imam-e-Azam Abu Hanifah





