Dar-haq pasand-o-haq nawa-o-haq numa milta nahi Mustafa Haider Hassan ka aaina milta nahi
Khubsurat, khub seerat, woh Ameen-e-Mujtaba Ashraf-o-afzal, Najeeb-e-Zahira milta nahi
Khush bayaan-o-khushnawa-o-khush ada milta nahi Jo mujassam husn tha woh kya hua milta nahi
Khush bayaan-o-khushnawa-o-khush ada milta nahi Dil nawazi karne wala dilruba milta nahi
Paikar-e-sidq-o-safa woh sham-e-rah-e-Mustafa Jo mujassam deen tha woh kya hua milta nahi
Mard-e-maidan-e-Raza woh Haider-e-deen-e-Khuda Sher seerat sher dil Haider numa milta nahi
Haajatein kis ko pukarein kis ki janib rukh karein Haajatein mushkil mein hain mushkil kusha milta nahi
Woh hain un mein jo kahein ajsamuna arwahuna Soorat-e-ruh-e-rawan hai bar-mala milta nahi
Doob tu bahr-e-fana mein phir baqa payega tu Jo yeh keh kar de gaya apna pata milta nahi
Sunniyon ki jaan tha woh sayyidon ki shaan tha Dushmanon ke waste paik-e-Raza milta nahi
Woh Ameen-e-Ahl-e-Sunnat raazdar-e-Murtaza Ashraf-o-afzal, Najeeb-e-basafa milta nahi
Shibl-e-sher-e-Karbala woh dafi-e-karb-o-bala Woh hamara ghamzada gham aashna milta nahi
Ek shakh-e-gul hi kya ghamgeen hai saari faza Mustafa ka andaleeb-e-khushnawa milta nahi
Yaad rakhna hum se sun kar midhat-e-Haider Hassan Phir kaho ge Akhtar-e-Haider numa milta nahi





