Chal diye tum aankh mein ashkon ka dariya chhod kar Ranj-e-furqat ka har ik seena mein shola chhod kar
Lazzat-e-mai le gaya woh jaam-o-meena chhod kar Mera saqi chal diya khud mai ko tishna chhod kar
Har jigar mein dard apna meetha meetha chhod kar Chal diye woh dil mein apna naqsh-e-wala chhod kar
Jama-e-mushkeen liye Arsh-e-Mualla chhod kar Farsh par aaye farishtay bazm-e-bala chhod kar
Aalam-e-bala mein har su marhaba ki goonj thi Chal diye jab tum zamane bhar ko sona chhod kar
Maut-e-aalim se bandhi hai maut-e-aalam be-gumaan Rooh-e-aalam chal diya aalam ko murda chhod kar
Muttaqi ban kar dikhaye is zamane mein koi Ek mere Mufti-e-Azam ka taqwa chhod kar
Khwab mein aakar dikhao hum ko bhi ae jaan kabhi Kaun si duniya basayi tum ne duniya chhod kar
Ek tum duniya mein reh kar tarik-e-duniya rahe Reh ke duniya mein dikhaye koi duniya chhod kar
Is ka ae Shah-e-Zaman sara zamana ho gaya Jo tumhara ho gaya sara zamana chhod kar
Rehnuma-e-rah-e-jannat hai tera naqsh-e-qadam Rah-e-jannat tay na hogi tera rasta chhod kar
Misl-e-gardoon saya-e-dast-e-karam hai aaj bhi Kaun kehta hai gaye woh be-sahara chhod kar
Ho sake to dekh Akhtar bagh-e-jannat mein usay Woh gaya taaron se aagay aashiyana chhod kar





