Bahar-e-bagh-e-imaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain Charagh-e-bazm-e-irfan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Numayaan aap ki har ik ada se shaan-e-Farooqi Khuda ki tegh-e-burraan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Ashiddaa-u-alal-kuffar ke misdaq-e-aala hain Muzill-e-kufr-o-tughyaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Rasoolullah ne Farooq ko Allah se maanga Ataa-e-Rabb-e-Subhaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Chuna us Paak ne deen ke liye is paak suthre ko Habib-e-deen-daaraan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Habib-e-Haq hain Tayyab unke sab saathi bhi tahir hain Chunida bahr-e-paakaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Na kyun woh zaat chamke jisne deen-e-paak chamkaya Jahaan ke mehr-e-taabaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Umar Aamir hain deen ke Haq Ta'ala unka naasir hai Dil-e-momin ke taabaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Rahe ga naam unka ta-abad konain mein roshan Sepehr-e-deen pe rakhshaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Umar kaafi Nabi ko Hasbukallah se ye saabit hai Hai shaahid jin pe Quran Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Woh aalam dabdaba ka kaanpte hain Qaisar-o-Kisra Hai jin se deen ki shaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Khazaane Room-o-Fars ke lutate hain Madinah mein Fuyuz-e-Haq ke baaraan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Magar is haal mein dho dho kar ik kurta pehente hain Hai taqwa jin pe naazaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Musalmaan raat bhar soyein Umar Farooq pehra dein Ri'aaya ke nigahbaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Pukaara Saariyah ko ik mahine ki musafat se Jise har ja ho yaksaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Hain daamad-e-Ali-o-nazneen-e-Hazrat-e-Zahra Hai Saalik jin pe naazaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain





