Aseeron ke mushkil-kusha Ghous-e-Azam Fakeeron ke haajat-rawa Ghous-e-Azam
Gira hai balaon mein banda tumhara Madad ke liye aao Ya Ghous-e-Azam
Tere haath mein haath main ne diya hai Tere haath hai laaj Ya Ghous-e-Azam
Mureedon ko khatra nahin bahr-e-gham se Ke beray ke hain nakhuda Ghous-e-Azam
Tumhin dukh suno apne aafat-zadon ka Tumhin dard ki do dawa Ghous-e-Azam
Bhanwar mein phansa hai hamara safeena Bacha Ghous-e-Azam bacha Ghous-e-Azam
Jo dukh bhar raha hoon jo gham seh raha hoon Kahun kis se tere siwa Ghous-e-Azam
Zamanay ke dukh dard ki ranj-o-gham ki Tere haath mein hai dawa hai Ghous-e-Azam
Nikala hai pehle to doobay huon ko Aur ab doobton ko bacha Ghous-e-Azam
Jisay khalq kehti hai pyara Khuda ka Usi ka hai tu laadla Ghous-e-Azam
Kiya ghor jab gyarhwein barhwein mein Muamma yeh hum par khula Ghous-e-Azam
Phansa hai tabahi mein bera hamara Sahara laga do zara Ghous-e-Azam
Mashaikh jahan aayen bahr-e-gadai Woh hai teri daulat-sara Ghous-e-Azam
Meri mushkilon ko bhi aasaan kijiye ke Hain aap mushkil-kusha Ghous-e-Azam
Wahan sar jhukatay hain sab oonchay-oonchay Jahan tera naqsh-e-pa Ghous-e-Azam
Qasam hai ke mushkil ko mushkil na paya Kaha hum ne jis waqt Ya Ghous-e-Azam
Mujhe phir mein nafs-e-kafir ne dala Bata jaayen rasta Ghous-e-Azam
Khila de jo murjhai kaliyan dilon ki Chala koi aisi hawa Ghous-e-Azam
Mujhe apni ulfat mein aisa guma de Na paoon phir apna pata Ghous-e-Azam
Bacha le ghulamon ko majbooriyon se Ke tu Abdul-Qadir hai Ya Ghous-e-Azam
Dikha de zara meher-e-rukh ki tajalli Ke chhayi hai gham ki ghata Ghous-e-Azam
Lipat jaayen daaman se us ke hazaron Pakad le jo daaman tera Ghous-e-Azam
Saron par jisay kehtay hain taaj walay Tumhara qadam hai woh Ya Ghous-e-Azam
Kahay kis se ja kar Hassan apne dil ki Sunay kaun tere siwa Ghous-e-Azam





