Apne qadmon mein bula Khwaja Piya Khwaja Piya Aur jalwa bhi dikha Khwaja Piya Khwaja Piya
Ho karam bar-haal-e-ma Khwaja Piya Khwaja Piya Az paye Data Piya Khwaja Piya Khwaja Piya
Aah! kitni der se main door hoon Ajmer se Jaane main kab aaunga Khwaja Piya Khwaja Piya
Mustafa ﷺ ki Anbiya ki har Sahabi aur wali Ki mohabbat ho ata Khwaja Piya Khwaja Piya
Ya Moinuddin Ajmeri! karam ki bheek do Az paye Ghaus o Raza Khwaja Piya Khwaja Piya
Shabbar o Shabbir ka sadqa balaein door hon Ae mere Mushkil-kusha Khwaja Piya Khwaja Piya
Aafton ki aandhiyan kar door de amn o amaan Behr-e-khaak-e-Karbala Khwaja Piya Khwaja Piya
Dil se duniya ki mohabbat ki musibat door ho De do ishq-e-Mustafa Khwaja Piya Khwaja Piya
Teri ulfat mein jiyoon teri mohabbat mein maroon Ho karam aisa Shaha! Khwaja Piya Khwaja Piya
Jholiyan bharte ho mangton ki mujhe bhi ho ata Hissa-e-jood o sakha Khwaja Piya Khwaja Piya
Na main sail raaj ka na takht ka na taaj ka Main faqat mangta tera Khwaja Piya Khwaja Piya
Yeh sag-e-darbar-e-Khwaja! talib-e-deedar hai Chehra-e-anwar dikha Khwaja Piya Khwaja Piya
Dushmanon mein hoon ghira Siddiq ka sadqa bacha Al-madad Khwaja Piya Khwaja Piya Khwaja Piya
Oont baithe uth na paaye sarban hairan thay Yeh karamat wah wah! Khwaja Piya Khwaja Piya
Aa gaya saara ’’Anasagar‘‘ teri chaghal mein khoob Shaan teri marhaba! Khwaja Piya Khwaja Piya
Apni manzil se kabhi bhi woh bhatak sakta nahin Jis ke tum ho rehnuma Khwaja Piya Khwaja Piya
Istaqamat mazhab-e-Islam par mil jaaye kaash! Haath utha kar kar dua Khwaja Piya Khwaja Piya
Khatima bil-khair ho meethe Madine mein mera Haath utha kar kar dua Khwaja Piya Khwaja Piya
Hajj ki mil jaaye sa’adat sabz gumbad dekh loon Haath utha kar kar dua Khwaja Piya Khwaja Piya
Kaash! qismat se Madine mein shahadat paoon main Haath utha kar kar dua Khwaja Piya Khwaja Piya
Ho Baqi-e-Paak mein tadfeen meri khair se Haath utha kar kar dua Khwaja Piya Khwaja Piya
Ek zarra ho ata Attarؔ ke ho jaayega Khwaja! ghar bhar ka bhala Khwaja Piya Khwaja Piya





