Allah se kya pyar hai Usman-e-Ghani ka Mehboob-e-Khuda yaar hai Usman-e-Ghani ka
Rangeen woh rukhsar hai Usman-e-Ghani ka Bulbul gul-e-gulzar hai Usman-e-Ghani ka
Garmi pe yeh bazaar hai Usman-e-Ghani ka Allah kharidar hai Usman-e-Ghani ka
Kya laal-e-shakar bar hai Usman-e-Ghani ka Qand ek namak khwar hai Usman-e-Ghani ka
Sarkar ata pash hai Usman-e-Ghani ki Darbar durar bar hai Usman-e-Ghani ka
Dil sokhto himmat-e-jigar ab hote hain thanday Woh saya-e-deewar hai Usman-e-Ghani ka
Jo dil ko ziya de jo muqaddar ko jila de Woh jalwa-e-deedar hai Usman-e-Ghani ka
Jis aaina mein noor-e-Ilahi nazar aaye Woh aaina-e-rukhsar hai Usman-e-Ghani ka
Sarkar se payein ge muradon pe muradein Darbar yeh durbar hai Usman-e-Ghani ka
Azad giraftar-e-bala-e-do jahan hai Azad giraftar hai Usman-e-Ghani ka
Beemar hai jis ko nahi aazar-e-mohabbat Accha hai jo beemar hai Usman-e-Ghani ka
Allah Ghani had nahi inaam-o-ata ki Woh faiz pe darbar hai Usman-e-Ghani ka
Ruk jayein mere kaam Hasan ho nahi sakta Faizan madadgar hai Usman-e-Ghani ka





