Ashiq-e-Mustafa Ziauddin Zahid-o-parsa Ziauddin
Dilkash-o-dilkusha Ziauddin Mere dil ki ziya, Ziauddin
Tum ko Qutb-e-Madinah ya Murshid Ulama ne kaha Ziauddin
Yeh sharaf kam nahin hai mere liye Hoon mureed aapka Ziauddin
Mujh ko apna banao deewanah Wasta Ghous ka Ziauddin
Chashm-e-rahmat basoo-e-man Murshid Az tufail-e-Raza Ziauddin
Aisa karde karam rahein ya Rabb Mujh se raazi sada Ziauddin
Kaise bhatkoon ga mere hain mere Rehbar-o-rehnuma Ziauddin
Ek muddat se aankh pyasi hai Apna jalwa dikha Ziauddin
Marz-e-isyan se neem jaan hoon main Mujh ko dedo shifa Ziauddin
Chashm-e-tar aur qalb-e-muztar do Sadqa Hasnain ka Ziauddin
Meri sab mushkilain hoon hal Murshid Mere mushkil kusha Ziauddin
Pone sau saal tak Madine mein Tum ne baanti ziya, Ziauddin
Jaam-e-ishq-e-Nabi pila ke mujhe Mast-o-be-khud bana Ziauddin
Mere dushman hain khoon ke pyase Mujh ko un se bacha Ziauddin
Aah! toofan mein hai ghiri naiyya Aye mere nakhuda Ziauddin
Maut aaye mujhe Madine mein Kardo haq se dua Ziauddin
Mujh ko dedo Baqi-e-Gharqad mein Apne qadmon mein ja Ziauddin
Hashr mein dekh kar pukaron ga Marhaba marhaba Ziauddin
Mustafa ka paros jannat mein Mujh ko haq se dila Ziauddin
Be-amal hi sahi magar Attar Kis ka hai? Aapka Ziauddin





