Zameen ke log hon ya ahl-e-aalam-e-baala Har ik zabaan pe hai Subhaana Rabbiyal A'laa
Tere qalam ki gawaahi, muraqqa-e-aalam Fazaaein aaeena hain, dil ho dekhne wala
Diye haseen khado-khaal tu ne mitti ko Tere jamaal ke saanchon ne aadmi dhaala
Thamaai mehar ko lail-o-nahaar ki dori Saba ko sonp di aaraayish-e-gul-o-laala
Zameen-e-teera ke munh se laga diya tu ne Mah-o-nujoom bhara aasmaan ka pyaala
Parhay qaseeda-e-wahdat, hujoom-e-kon-o-makaan Tu sab ka Rab hai kisi ne tujhe nahin paala
Mujhe hi tu ne diya ikhtiyaar-e-laghzish bhi Mujhi pe apni khilafat ka bojh bhi daala
Utaar kar mere seene mein aagahi ke chaand Baseeraton ka mere gird khench de haala
Har ek saans ko meri, bana charaagh-e-haram Na ho zara bhi, mera naama-e-amal kaala





