Tera banda teri tauseef-o-sana karta hai Mera har saans tera shukar ada karta hai
Tere aage meri jhukti hui peshani se Meri har subah ka aaghaz hua karta hai
Rehmaten deti hain aawaz gunahgaron ko Yeh karishma bhi tera afv kiya karta hai
Rizq pahunchata hai patthar mein chhupe keede ko Tu hi sookhi hui shakhon ko hara karta hai
Zindagi par kabhi itraun na marne se darun Tu hi paida bhi kare tu hi fana karta hai
Tere altaf kisi ke liye makhsoos nahin Tu har ik chahne wale ki suna karta hai
Khair maqdam kiya karti hain usi ka raahein Tere kehne ke mutabiq jo chala karta hai
Har koi toh teri janib nahin raghib hota Tu jise chahe yeh taufiq ata karta hai
Geet gaati hain baharein teri khallaqi ke Seena-e-sang se jab phool khila karta hai
Bada nadan hai tujhe door samajhne wala Tu rag-e-jaan se bhi nazdeek raha karta hai





