Allah Allah Allah Allah
Qalb ko us ki ru'yat ki hai aarzu Jis ka jalwa hai aalam mein har chaar su
Balkay khud nafs mein hai woh Subhanahu Arsh par hai magar arsh ko justaju
Allah Allah Allah Allah
Arsh-o-farsh-o-zamaan-o-jihat aye Khuda Jis taraf dekhta hoon hai jalwa tera
Zarrray zarrray ki aankhon mein tu hi ziya Qatray qatray ki tu hi tu hai aabru
Allah Allah Allah Allah
Tu kisi ja nahin aur har ja hai tu Tu munazzah makaan se mubarra ze su
Ilm-o-qudrat se har ja hai tu ku-ba-ku Teray jalway hain har har jagah aye Afu
Allah Allah Allah Allah
Saaray aalam ko hai teri hi justaju Jinn-o-ins-o-malak ko teri aarzu
Yaad mein teri har ek hai su-ba-su Ban mein wahshi lagatay hain zarbaat-e-Hu
Allah Allah Allah Allah
Naghma sanjan-e-gulshan mein charcha tera Chahchahay zikr-e-Haq ke hain subh-o-masa
Apni apni chahak apni apni sada Sab ka matlab hai wahid ke wahid hai tu
Allah Allah Allah Allah
Taairaan-e-jinaan mein teri guftagu Geet teray hi gaatay hain woh khush-gulu
Koi kehta hai Haq koi kehta hai Hu Aur sab kehtay hain La sharika lahu
Allah Allah Allah Allah
Bulbul-e-khush-nawa tooti-e-khush-gulu Zamzama khwaan hain gaatay hain naghmaat-e-Hu
Qumri-e-khush-laqa boli Haqq sirruhu Fakhta khush-ada ne kaha dost tu
Allah Allah Allah Allah
Subh-e-dam kar ke shabnam se ghusl-o-wuzu Shahidaan-e-chaman basta saf ru-ba-ru Vird kartay hain tasbeeh-e-Subhanahu Hu wa la ghairuhu Hu wa la ghairuhu
Allah Allah Allah Allah
Har nihaal-e-chaman zikr se hai nihaal Zikr-e-Haq hi usay karta hai maala maal
Zikr se chook kar hota hai woh nidhaal Zikr hi tera hai us ki wajh-e-numu
Allah Allah Allah Allah
Woh bhi tasbeeh se rakhta hai ishtighaal Jo nahin rakhta munh aur lisan-e-maqaal
Phir bhi goyaye tasbeeh hai us ka haal Us ki haali zabaan kehti hai tu hi tu
Allah Allah Allah Allah
Jo hai ghaafil teray zikr se Zul-Jalaal Us ki ghaflat hai us par wabaal-o-nikaal
Qaar-e-ghaflat se hum ko Khudaya nikaal Hum hon zaakir teray aur mazkoor tu
Allah Allah Allah Allah
Hai zabaan-e-jahaan hamd-e-Baari mein laal Dam koi hamd ka maaray kis ki majaal
Ta ba imkaan hum rakhtay hain qeel-o-qaal Us ko maqbool farma lay rahmat se tu
Allah Allah Allah Allah
Bhar de ulfat ki may se hamara sabu Dil mein aankhon mein tu aur lab par ho tu
Kaif mein wajd kartay phirein ku-ba-ku Vird gaya karein pay-ba-pay su-ba-su
Allah Allah Allah Allah
Afu farma khataayein meri aye Afu Shauq-o-taufeeq-e-neki ka de mujh ko tu
Jaari dil kar ke har dam rahay zikr-e-Hu Aadat-e-bad badal aur kar naik-khu
Allah Allah Allah Allah
Bad hoon Mawla meray mujh ko kar de niku Rakht-e-a'maal hai chaak farma rafu
Teri rahmat ki umeed hai aye Afu Ke hai irshaad-e-Quran La taqnatu
Allah Allah Allah Allah
Daakhil-e-khuld hum ko jo farmaye tu Hum hon aur hoor-o-ghilmaan lab-e-aab-e-ju
Aur jaam-e-tahoor aur meena sabu Dekhein a'da to reh jaayein pee kar lahu
Allah Allah Allah Allah
Thandi thandi naseemein chalein meray Rab Fitno ki dhool se paak howay Arab
Aisa barsa baha de jo khaashaak sab Teri rahmat ke baadal ghirein chaar su
Allah Allah Allah Allah
Rahm farma Khudaya haram paak ho Tu ne taqdees bakhshi hai jis khaak ko
Daf'a farma wahaan par hai be-baak jo Aur gira bijliyan qahr ki bar adu
Allah Allah Allah Allah
Noor ki teray hai ik jhalak khubru Dekhay Noori to kyun kar na yaad aaye tu
Un ka sarwar hai mazhar tera hu-ba-hu Man ra'ani ra'al Haq hai Haq mu-ba-mu
Allah Allah Allah Allah
Khwaab-e-Noori mein aaein jo Noor-e-Khuda Buq'a-e-noor ho apna zulmat-kada
Jagmaga uthay dil chehra ho pur-ziya Nooriyon ki tarah shughl ho zikr-e-Hu





