Naseeb tere karam se chamak utha Ya Rab Jahan mein phir mah-e-Ramzan aa gaya Ya Rab
Hai laakh laakh tera shukr phir diya Ramzan Karam se zauq-e-ibadat bhi ho ata Ya Rab
Ilahi ashra-e-rehmat ki ho gayi aamad Hamein bhi bheek de rehmat ki Ya Khuda Ya Rab
Karam se ashra-e-rehmat ko pa liya hum ne Tu bakhsh ashra-e-rehmat ka wasta Ya Rab
Tufail ashra-e-rehmat ho saath imaan ke Tere Habeeb ke jalvon mein khatma Ya Rab
Kareem! Ashra-e-rehmat diya karam se ab Azaab door ho rehmat se qabr ka Ya Rab
Hai koch ashra-e-rehmat ki anqareeb ab aah Ata ho gham, mah-e-Ramzan ka ata Ya Rab
Hamare saare mareezon pe fazl-o-rehmat ho Inhein ho az-paye-Ramzan ata shifa Ya Rab
Jo aashiqan-e-Rasool aafaton se hain do chaar Najaat unhein paye-Ramzan kar ata Ya Rab
Jo tang dast hain un par karam ho Ya Allah De un ke rizq mein barkat paye-Raza Ya Rab
Tere Habeeb ke jo bhi ghulam hain maqrooz Najaat qarz se un ko tu kar ata Ya Rab
Unhein khushi de musarrat de aish-o-rahat de Jo tere bande hain sadmon mein mubtala Ya Rab
Jo bhata khor, lutere hain chor daaku hain Unhein tu tauba ka kar de sharaf ata Ya Rab
Bane ab amn ka gehwara mulk-e-Pakistan Ilahi deta hoon Ramzan ka wasta Ya Rab
Tere karam se mila maghfirat ka hai ashra Rihai naar-e-jahannam se ho ata Ya Rab
Ilahi aa gaya Ramzan ka aakhri ashra Rihai naar-e-jahannam se ho ata Ya Rab
Ilahi reh gaye Ramzan ke aakhri roze Rihai naar-e-jahannam se ho ata Ya Rab
Ilahi reh gayin Ramzan ki aakhri ghariyan Karam se bakhsh bhi de hum ko Ya Khuda Ya Rab
Ilahi! De de tu Attar ko gham-e-Ramzan Rulaaye gham usey Ramzan ka sada Ya Rab





