Nahin jaati kisi surat pareshani nahin jaati Ilahi mere dil ki khana-veerani nahin jaati
Na jaane kis qadar sadmay uthaye rah-e-ulfat mein Nahin jaati magar dil ki woh naadani nahin jaati
Piye bin hi yahan masti ka yeh aalam ma'azAllah Qareeb-e-marg bhi woh chaal mastani nahin jaati
Hazaron dard sehta hoon isi umeed mein Akhtar Ke hargiz raa'ygaan faryaad-e-roohani nahin jaati





