Mu'aaf fazl-o-karam se ho har khata ya-Rabb Ho maghfirat paye Sultan-e-Anbiya ya-Rabb
Bila hisab ho jannat mein dakhila ya-Rabb Paros khuld mein Sarwar ka ho ata ya-Rabb
Nabi ka sadqa sada keliye tu raazi ho Kabhi bhi hona na naraaz ya-Khuda ya-Rabb
Tere Habib agar muskuraate aa jaayen To bil-yaqeen uthay qabr jagmaga ya-Rabb
Khizaan phatak na sakay paas, de bahaar aisi Rahay hayaat ka gulshan hara-bhara ya-Rabb!
Hamarey dil se nikal jaaye ulfat-e-dunya De dil mein ishq-e-Muhammad meray racha ya-Rabb
Nabi ki deed hamari hai eid ya-Allah Ata ho khwab mein deedar-e-Mustafa ya-Rabb!
Tere Habib ki sunnat ki dhoom mach jaaye Gali gali mein phiray "Madani qafila" ya-Rabb!
Meri zabaan pe "qufl-e-Madinah" lag jaaye Fuzool goi se bachta rahoon sada ya-Rabb
Uthay na aankh kabhi bhi gunah ki jaanib Ata karam se ho aisi mujhay haya ya-Rabb
Kisi ki khamiyan dekhein na meri aankhein aur Sunain na kaan bhi aibon ka tazkira ya-Rabb
Tulein na hashr mein Attar ke amal Maula Bila hisab hi tu us ko bakhshna ya-Rabb





