Mita mere ranj-o-alam Ya-Ilahi Ata kar mujhe apna gham Ya-Ilahi
Sharab-e-mohabbat kuch aisi pila de Kabhi bhi nasha ho na kam Ya-Ilahi
Mujhe apna aashiq bana kar bana de Tu sartapa tasveer-e-gham Ya-Ilahi
Faqat tera talib hoon hargiz nahi hoon Talabgar-e-jah-o-hasham Ya-Ilahi
Na de taj-e-shahi na de badshahi Bana de gada-e-Haram Ya-Ilahi
Jo ishq-e-Muhammad mein aansu bahaye Ata kar de woh chashm-e-nam Ya-Ilahi
Sharaf Hajj ka de de chale qafila phir Mira kash! su-e-Haram Ya-Ilahi
Dikha de Madine ki galiyan dikha de Dikha de Nabi ﷺ ka Haram Ya-Ilahi
Chale jaan is shaan se kash yeh sar Dar-e-Mustafa ﷺ par ho kham Ya-Ilahi
Mira sabz gumbad ke saye mein nikle Muhammad ﷺ ke qadmon mein dam Ya-Ilahi
Ibadat mein lagta nahi dil hamara Hain isyan mein badmast hum Ya-Ilahi
Mujhe de de iman par istiqamat Paye Sayyid-e-Muhtasham Ya-Ilahi
Mere sar pe isyan ka baar aah Maula Barha jata hai dam-ba-dam Ya-Ilahi
Zameen bojh se mere phat-ti nahi hai Yeh tera hi to hai karam Ya-Ilahi
Huquq-ul-ibad! aah! hoga mira kya! Karam mujh pe kar de karam Ya-Ilahi
Bari koshishein ki gunah chorne ki Rahe aah! nakam hum Ya-Ilahi
Mujhe sacchi tauba ki taufiq de de Paye Tajdar-e-Haram Ya-Ilahi
Jo naraz tu hogaya to kahin ka Rahoon ga na teri qasam Ya-Ilahi
Mujhe naar-e-dozakh se dar lag raha hai Ho mujh natuan par karam Ya-Ilahi
Sada ke liye hoja razi Khudaya Hamesha ho lutf-o-karam Ya-Ilahi
Khudaya bure khatime se bachana Parhoon kalima jab nikle dam Ya-Ilahi
Gunahon se bharpoor nama hai mera Mujhe bakhash de kar karam Ya-Ilahi
Tulein mere aamal mizan pe jis dam Pare ik bhi neki na kam Ya-Ilahi
Main tha laiq-e-naar-e-dozakh Khudaya Di jannat hai kitna karam Ya-Ilahi
Baroz-e-Qayamat ho aisi inayat Rahoon pul pe sabit qadam Ya-Ilahi
Jala de na naar-e-jahannam karam ho Paye Badshah-e-Umam Ya-Ilahi
Gunahon ki aadat barhi ja rahi hai Karam Ya-Ilahi karam Ya-Ilahi
Gunahon ki tarikiyan cha gayi hain Karam Ya-Ilahi karam Ya-Ilahi
Chale qabr mein sab akela lita kar Karam Ya-Ilahi karam Ya-Ilahi
Nakirain bhi qabr mein aa chuke hain Karam Ya-Ilahi karam Ya-Ilahi
Qayamat ki garmi mein kaise sahoon ga Karam Ya-Ilahi karam Ya-Ilahi
Yahood-o-Nasara ko maghloob kar de Ho khatm unka jaur-o-sitam Ya-Ilahi
Mujhe dono alam ki khushiyan ata hon Mita de zamane ke gham Ya-Ilahi
Jo bimar aaye shifa pa ke jaye Sukha de mujhe aisa dam Ya-Ilahi
Main tahrir se deen ka danka bajadoon Ata kar de aisa qalam Ya-Ilahi
Tu Attar ko be-sabab bakhash Maula Karam kar karam kar karam Ya-Ilahi





