Mita de saari khataein meri mita Ya Rabb Bana de nek bana nek de bana Ya Rabb
Bana de mujh ko Ilahi khuloos ka paikar Qareeb aaye na mere kabhi riya Ya Rabb
Andheri qabr ka dil se nahi nikalta dar Karoon ga kya jo Tu naraz ho gaya Ya Rabb
Gunahgar hoon main laiq-e-Jahannam hoon Karam se bakhsh de mujh ko na de saza Ya Rabb
Buraiyon pe pashayman hoon raham farma de Hai Tere qahr pe hawi Teri ata Ya Rabb
Muheet dil pe hua haye nafs-e-ammara Dimagh par mere Iblees cha gaya Ya Rabb
Rihai mujh ko mile kaash! nafs-o-shaitan se Tere Habib ka deta hoon wasta Ya Rabb
Gunah be-adad aur jurm bhi hain la-tadaad Muaf kar de na seh paunga saza Ya Rabb
Main kar ke tauba palat kar gunah karta hoon Haqeeqi tauba ka kar de sharaf ata Ya Rabb
Sunoon na fuhsh kalami na gheebat-o-chughli Teri pasand ki baatein faqat suna Ya Rabb
Karein na tang khayalat-e-bad kabhi, kar de Shooor-o-fikr ko pakeezgi ata Ya Rabb
Nahi hai namah-e-Attar mein koi neki Faqat hai Teri hi rehmat ka aasra Ya Rabb





