Kab gunahon se kinara main karoon ga ya Rabb Nek kab aye mere Allah! banoon ga ya Rabb
Kab gunahon ke marz se main shifa paaun ga Kab main bimaar-e-Madinah ka banoon ga ya Rabb
Gar tere pyaare ka jalwa na raha pesh-e-nazar Sakhtiyan naz'a ki kyun kar main sahoon ga ya Rabb
Naz'a ke waqt mujhe jalwa-e-mehboob dikha Tera kya jaye ga main shaad maroon ga ya Rabb
Qabr mein gar na Muhammad ﷺ ke nazare honge Hashr tak kaise main phir tanha rahoon ga ya Rabb
Dank machhar ka saha jaata nahin, kaise main phir Qabr mein bichhoo ke dank aah sahoon ga ya Rabb
Ghupp andhere ka bhi wehshat ka baseera hoga Qabr mein kaise akela main rahoon ga ya Rabb
Gar kafan phaad ke saanpon ne jamaya qabza Haaye barbadi! kahan ja ke chhupoon ga ya Rabb
Haaye! maamooli si garmi bhi sahi jaati nahin Garmi-e-hashr mein phir kaise sahoon ga ya Rabb
Aaj banta hoon mu'azzaz jo khule hashr mein aib Aah! ruswayi ki aafat mein phansoon ga ya Rabb
Pul-e-siraat aah! hai talwar ki bhi dhaar se tez Kis tarah se main ise paar karoon ga ya Rabb
Qabr mehboob ke jalwon se basa de Maalik Yeh karam kar de to main shaad rahoon ga ya Rabb
Gar tu naraaz hua meri halakat hogi Haaye! main naar-e-jahannam mein jaloon ga ya Rabb
Dard-e-sar ho ya bukhaar aaye tadap jaata hoon Main jahannam ki saza kaise sahoon ga ya Rabb
Af'o kar aur sada ke liye raazi ho ja Gar karam kar de to jannat mein rahoon ga ya Rabb
Tu hai Mu'ti woh hain Qasim yeh karam hai tera Tere mehboob ﷺ ke tukron pe paloon ga ya Rabb
Chashm-e-nam de gham-e-Sultan-e-Umam de Maula Un ka kab aashiq-e-saadiq main banoon ga ya Rabb
De de marne ki Madine mein sa'adat de de Kis tarah Sindh ke jangal mein maroon ga ya Rabb
Mujh gunahgar pe gar khaas karam ho jaye Jaam, Taibah mein shahadat ka piyoon ga ya Rabb
Hajj ka har saal sharaf de de to Makke aa kar Jhoom kar Ka'be ke chaugird phiroon ga ya Rabb
Kaash! har saal Madine ki bahaaren dekhoon Sabz gumbad ka bhi deedar karoon ga ya Rabb
Izn se tere sar-e-hashr kahein kaash! Huzoor ﷺ Saath Attar ko jannat mein rakhoon ga ya Rabb





